This website is best viewed with Microsoft Internet Explorer 5.0 or more with 800 X 600 pixels and 16-bit color. Click here to get help on these topics.

.... Lyrics ....page04

Select one of the following songs.............
.
.
.
Tum Ho Wohi Jheel Pe Jaise Mausam Baadlon Ki Gehraaee Suntey Hi Rehte Hain
.
.
.
.
.
Tum Ho Wohi

.

Lyrics by Aslam performed by Lucky Ali and Group
.
Yeh hai khayaalon mein yaadon mein baaton mein
Gum hain kahin, tum ho wohi
Pyaar se jiske yeh naam hai aaya
Tum ho wohi, gum ho kahin
Har zamaane mein aate rahenge yeh kyon inkaar kare
Pyaar ke saayil raah batate hai kya
Jaise guzarte hai vaise badalte hai
Din ho ya raat miley
Aise bahaane se saara jahan badla tha
Neeley gagan ke taley
Humne bhi taare giney
Achcha jo samjha kiyey
Har ek chaahat ko

Raaston mein chalke, kahi se guzarke
Kahin pe sambhalke, aisa kahin, vaisa kahin
Nek iraadon mein, sachcha yeh vaadon mein
Tum ho kahin, gum ho kahin
Baahon mein bhar laaye saare ishaare hai
Chal ke kahin, chalte yahin

Aaj ka aalam hai maange to hum ko
Yeh saara sansar miley
Jaane kya chahe woh humne tho chaha yahi
Saath guzar jaaye har ek lamha bhi
Aisa dildaar mile
Pyaar ki basti mein aise bhi raste yahan
Neeley gagan ke taley, hum ko sahaara miley
Kahin nazaare khiley, kayi tikane hai

Ek ho zamaane mein, kya bura hai paane mein
Yeh samajh ke jaaye tho, der na ho jaane mein
Chaandni raaton mein shabnami raahon mein
Gum ho kahin, tum ho wohi

top of the page

.
.
.
.
.
Jheel Pe Jaise

.

Lyrics by Aslam performed by Lucky Ali and Group
.
Jheel pe jaise naav chale aahistha aahistha
Baadal mein aise yeh chaand chipey
Kehne ko hai yeh bhi chehra

Chod aaye pichey hum kisko kahan
Unko khabar hai ki hum hai yahan
Aaye baharon mein mehkaayi raah
Phir milney aayenge kya

Bas thodi doori yeh raastha kahe
Rukney lagey, phir chal diye
Jab woh hamey yun dilaatey hai vaastha vaastha
Rishte hum aise nibhaatey hai
Raat se jaise koi subah

Ab hai nazar mein ek aisa samaa
Lekar ho aayenge tum ko yahan
Anjaan rahon ke anjaan rahi
Jaaye tho jaaye kahan

Tum ho salaamat yeh dil yun kahe
Chaahe miley ya na miley
Door se jo bulaayenge, aaja na aaja na
Chaahe savaari bhi na miley
Ho sakey to chalkey aana

top of the page

.
.
.
.
.
Mausam

.

Lyrics by Aslam performed by Lucky Ali and Group
.
Mausam bhi yaar hai gulshan gharbaar hai
Barkha ka saath hai aisi saugaath hai
Ab jaaye kab aaye kaise bolo
Jinke saath dil lagta hai, unke saath holo

Jaana kahan tha humko, kahan hum chal diye
Choti choti hasraton mein hum dhul mil gaye
Soch ke kya nikle the yeh kya hum kar gaye
Jo kehte woh na karte na in mein reh gaye
Rab yeh jaane ab kya hoga rastha hai mushkil
Kis chourahe pe khade hai yaar

Kitne armaan hai, kaise anjaam hai
Barson ka kaam hai, lamhon pe naam hai
Der se aaye jaise aaye bolo
Jinke saath dil lagta hai, unke saath holo

Mitti ka bartan ho, bartan mein ho sona
Sone ke bartan mein mitti aisa na hona
Aasmaan agar chath hai, yeh dharti bighona
Ambar ko de saath kaun, dharti ka kya kona
Rab yeh jaane kaisa hotha kehna hai mushkil
Hai us paar bhi gharbaar yaar

Chehra hijaab hai, gehra jawaab hai
Sach hai ya khwaab hai sab ka hisaab hai
Ab kaise sabko bathlaye bolo
Jinke saath dil lagta hai unke saath holo

top of the page

.
.
.
.
.
Baadalon Ki Gehraaee 

.

Lyrics by Aslam performed by Lucky Ali and Group
.
Baadalon ki gehraaee mein soche kya huzoor
Oonche oonche chehre hai zameen se kitne door
Aahen bharti hai yeh thandi hawa
Aise rangeen raahon mein ab humko kya hua
Chaand se taaron ka hai, aapas ka faasla
Beech mein yeh gehna hai, yeh gehna duniya
Is duniya ko kehte majboor
Meetha diya khud hasti ko yeh hai kiska kusoor
Tamanna hai yahi, aise yun kabhi
Hum basaye koi, naya jahan
Aashna ho yeh dil, pyaar ke kaabil
Saaj aisa bhi ho, sune jahan
Musafir ko mile raasta
Zamaane ko mile vaasta

Kaise kaise parvaane ki baaten mashoor
Jaise yeh nazraane hai vaise hai yeh suroor
Hai yakeen dil mein, subah aayegi zaroor
Mitega yeh andhera hoga har ek shay mein noor
Pyaar karte idhar, yaar banthe idhar
Daastane sifar sunoh yahan
Yeh bhi honge khafa, kya patha kya gila
Har kadam pe mile koi naya
Musafir ko mile raasta
Zamaane ko mile vaasta

top of the page

.
.
.
.
.
Suntey Hi Rehte Hain

.

Lyrics by Aslam performed by Lucky Ali and Group
.
Koi aa raha, koi jaa raha
Koi jaa raha, koi aa raha

Suntey hi rehtey hain hum to zamaane
Aisa koi vaisa kahin ja raha hain
Kal jo saath the, pal mein woh nahin hai
Miltey hi rehtey hain hum to har manzil mein
Basti nayi hasti se jahan jaa rahe hai
Kitney tan ke kaise ban ke
Kaisa yeh safar dil bada besabar
Yeh na jaane yeh na maane yeh hai bekhabar, ki mein to
Tanhayi mein tanha rehke pyaar samjha hoon
Door rehke paas rehna yaar samjha hoon
Khoye hain sab yahan, yeh akela jahan

Jitna hai utne mein mein to khush rehta hoon
Paana aur khona jaanta nahin
Paake kya kare, khoke sab miley
Gir ke sambhalta hoon phir bhi kuch nahin karta hoon
Deri aur doori main, jaanta nahin
Deri hi sahi, doori to nahin
Jaisa bhi safar dil bada besabar
Yeh na jaane yeh na maane yeh hai bekhabar, ki mein to
Doston ke saath bhi anjaan rehta hoon
Raaston mein har kahin pehchaan rakhta hoon
Hai yahn se wahan, yeh kisi ka jahan

Sun ley, dil ki sadaa, sun ley, dil ki sadaa

Koi aa raha, koi jaa raha
Koi aa raha, koi jaa raha

Aksar yeh dekha hai yun koi tehertha hai
Jaise ruka koi haar ke kahin
Behtar woh raasta hai jisme dil basta hai
Aise kinarey bhi miley hai yahan

top of the page

Move back a page............move to the next page

Coming up :: Flash version of the website.

Copyright © 2001 Saurabh Garg

Mail || Contact || About webmaster || Privacy Policy || Our Sponsors

Hosted by www.Geocities.ws

1