This website is best viewed with Microsoft Internet Explorer 5.0 or more with 800 X 600 pixels and 16-bit color. Click here to get help on these topics.

.... Lyrics ....page05

Select one of the following songs.............
.
.
.
Tere Mere Saath Kaisi Tanhai Kitni Haseen Zindagi Behti Nadi Mehboob
.
.
.
.
.
Tere Mere Saath

.

Lyrics by Aslam, Mehboob, Amol, Akki, Tanvir Shah, Sandesh, Aijaz, Arshi 
.
Yeh hai khayaalon mein yaadon mein baaton mein
Gum hain kahin, tum ho wohi
Pyaar se jiske yeh naam hai aaya
Tum ho wohi, gum ho kahin
Har zamaane mein aate rahenge yeh kyon inkaar kare
Pyaar ke saayil raah batate hai kya
Jaise guzarte hai vaise badalte hai
Din ho ya raat miley
Aise bahaane se saara jahan badla tha
Neeley gagan ke taley
Humne bhi taare giney
Achcha jo samjha kiyey
Har ek chaahat ko

Raaston mein chalke, kahi se guzarke
Kahin pe sambhalke, aisa kahin, vaisa kahin
Nek iraadon mein, sachcha yeh vaadon mein
Tum ho kahin, gum ho kahin
Baahon mein bhar laaye saare ishaare hai
Chal ke kahin, chalte yahin

Aaj ka aalam hai maange to hum ko
Yeh saara sansar miley
Jaane kya chahe woh humne tho chaha yahi
Saath guzar jaaye har ek lamha bhi
Aisa dildaar mile
Pyaar ki basti mein aise bhi raste yahan
Neeley gagan ke taley, hum ko sahaara miley
Kahin nazaare khiley, kayi tikane hai

Ek ho zamaane mein, kya bura hai paane mein
Yeh samajh ke jaaye tho, der na ho jaane mein
Chaandni raaton mein shabnami raahon mein
Gum ho kahin, tum ho wohi

top of the page

.
.
.
.
.
Kaisi Tanhai

.

Lyrics by Aslam, Ali
.
Baadalon ke sahre pe lehraati hain, aanchal woh kabhi
Chanda sharmakar chup jaye, ruk jaye aise woh kahin
Banaake deewana
Kuch tum, kuch woh, kuch zamaana

Ki tanhaayi hai, kaisi rut aayi hai
Judaa ho jaaun mein abhi
Sanam harjaayi hai

Gumsum rahti hai yeh
Tanha rahti hai
Saat rang dhal ke apna rang badalti hai
Dharti, nadiyaan, khula aasman

Ajab yeh afsaana, kise kya badlaana
Samajh naa aaye to diyon, bas itna kar jaana
Har ek dil mein rahti hai aisi arman koi
Aise pal bhi haan, kuch deke leke jayen soche naa kabhi
Zaraa o samjhaana
Duniya phir aaj chali hain kahan

Dheere ja re dheere ja
Chalta ja hat nahin
Kaun hai kahan hai bhai yeh kisko hai padi
O ay zamaana kaisa aazmana
Kuch bhi banaa ke daastan

Nazar se paar hua hai, dil se yaar hua
Samajh ke pyar jise yeh dil bezaar hua

Ek pal khilati hai yeh, phir murjhati hai
Kaun jaane karke aisa kya dikhlati hai
Dharti, nadiiya, khula aasman

Bahlaake dil bahlaaye ja, hasna to hai kabhi
Ek bahane se bhadke to yeh duniya khush nahi
Samajh ke samjhaana
Kuch tum, kuch woh, kuch zamaana

top of the page

.
.
.
.
.
Kitni Haseen Zindagi

.

Lyrics by Tanvir Shah, Arshii
.
Kitni haseen zindagi hai yeh hoton pe jaise kahani hai
Sadaa yahan kiska thikana hai un ki rawani mein jaana hai

Bahaaronn ne har sou, rang hai bikhairaa
Rait ka sehra, ek pal ka ghera ek din bikharnaa yahan

Dil bhi kahin hai pahadon mein thoda sa kahin hai kinaron mein

Phir ke chali hai thandi hawaaein
Kya tum miloge hum se jahaan leke jaaye
Bheegi bheegi palkhen, kamsin adaayein
Masoom chehra tera nahin bhool paaye

Tumhe bhi kabhi ye satate hain muskra ke dil ko churate hain
Jeene ko to dil yeh chaahta hai jaane phir kyon sharmaata hai

Rukta nahin hai, sab kuch bataaye chupta nahin hai, dil jaan jaaye
Ab rehna kisko yahaan

top of the page

.
.
.
.
.
Behti Nadi 

.

Lyrics by Sandesh, Mehboob
.
Behti nadi ka rukh kal yahaan, kal kahaan
Kya pata, kya khabar
Kyon chal diya karke yoon bekaraar
Yeh dil ab mera mane na

Kisi bhi bahane tum tak aate they
Tumhe yeh bataane ke kitna chahte they
Aisi baat thi

Samjhey nahin jo hum samjhate they
Keh jaate the, aankh churaate they
Aisi baat thi

Raat bhar soye nahin, they sawaal mein
Jaage rehte hum to, tere khayaalon mein
Hum sa deewana tune dekha hai kaheen
Gumsum rehtey they, saari baatein saheen
Dil pe bani hai bas teri tasveer
Mujhe kya pata hai kya hai meri taqdeeer
Ke mein rahoon paas tere, door rahoon

Baahon mein kabhi tum hum ko mil jaate
Hont abhi bhi shaayad sil jaate
Aisi baat thi

Jab se tere hum hawale huye
Raasta nazar aane laga
Thodi jo wafa hum tumse karte hain
Yaaron aisa lagta hai kam karte hain
Aisi baat thi

Dil ne yahi, jo kaha tha kabhi
Waqt kehne laga ab zara

Pyaar ka tarana hai yeh
Suno to bhalaa
Dais mein kharabi hai kya
Arey, thehro to zara

Kaisa naseeba dil waalon ka hai yeh
Mil ke na mil paaye kya faasla hai yeh
Sacchi wafaaon ka shaayad sila hai yeh
Paayenge phir bhi tujh ko, hoslaa hai yeh

top of the page

.
.
.
.
.
Mehboob

.

Lyrics by Mehboob
.
Ek din aisa hua, jo ke hona tha
Aaya tere jahaan mein main, par mujhe na aana tha
Marzi meri nahin thi na hi mera tha khayal
Apney hone pe khud se karta hoon main sawaal

Bahlaya pehle ye chand ne
Suraj ne bhi phir muje aise lalchaaya
Taare bhi chamak ke so gaye
Jal jal ke koi bhi na yeh dil behla saka

Par yeh masoom hai par itna bhi nahin
Chand suraj sitaarey sabhi rehna nahin
Gulshan hai tujhse yeh sou par, yeh tu hai nahin
In sab se main khela magar maine maana ye sanam nahin

Teri hi wafa mein, hum aag se khelein
Sehra hi paya humne yeh dariya cheer ke
Ek teri hi khushi mein, hum kahan guzar gaye
Arey kaunsi dagar hai aur kitne faasle

Kaheen jagah waheen pe hai na
Jahan pe dil ko khayal behlaate hain
Nigaahon mein, tu hi to hai naa
Pukar sun le meri, aey jaana

Anjaanay saare yahan, kab tak main sahoon
Jeene ki khatir dil badle to main kuch kahoon
Sun ne ko raazi ho to main unke saath rahoon
Har ek chamak ke peeche na daudein to main sang chaloon

Yeh badlein har pal chehra naya
Aiyaari mein dekho kaise jhoomta jahan
Darbadar bhataktey yahan wahaan
Manzil hai kahin pe aur ye chal diye kahan

Waqt nahin paayega tu, phat jaayegi zameen
Kabhi na kabhi ye samjhegaa tu mujhko hai yakeen
Sachchaai se aankhein firaana teri fitrat hai
Maine to wohi kaha jo kehna maqsad hai
Duniya to duniya hai, duniya ki keemat nahin
Surat teri achhi hai par seerat hai nahin
Jeene ko to jo paaye bhi jeete hai magar
Insaan hai tu khud apni na karta hai kadar

Jeena jeena jeena jeena, jeena jeena jeena jeena...

top of the page

Move back a page............move to the next page

Coming up :: Flash version of the website.

Copyright © 2001 Saurabh Garg

Mail || Contact || About webmaster || Privacy Policy || Our Sponsors

Hosted by www.Geocities.ws

1