This website is best viewed with Microsoft Internet Explorer 5.0 or more with 800 X 600 pixels and 16-bit color. Click here to get help on these topics.

.... Lyrics ....page03

Select one of the following songs.............
.
.
.
Teri yaadein Mil Jaan Se Kabhi Dekha Hai Aise Bhi Dil Aise na Samajhna Nahin Rakhta Dil Main
.
.
.
.
.
Teri Yaadein

.

Lyrics by Aslam performed by Lucky Ali and Group
.
Teri yaadein aati hai, teri yaadein aati hai
Teri yaadein aati hai, kuch baatein aati hai

Dil mein talab hai, lab pe taraana
Kisi ki talash mein yeh guzare zamaana
Kal hai kahan do pal ka bahaana
Nahin tha yakeen hum huye to rawaana

Teri yaadein aati hai, teri yaadein aati hai
Teri yaadein aati hai, kuch baatein aati hai

Duniya ke raaston mein ek hai zariya, ek hai zariya
Kehta deewana ye sun to le
Dariya se ja mili hain kitni hi nadiyaan, kitni hi nadiyaan
Kehta deewana ye sun to le
Aisa samaa bhi na dekha hai
Mausam yeh behka aur mehka hai

Teri yaadein aati hai, teri yaadein aati hai
Teri yaadein aati hai, kuch baatein aati hai

Kai rang mein dhala hai koi paimaana
Kahin aasman jhuka hai, zameen hai saraana
Inhee raaston se guzarte hum rozaana
Kis ka pata liye hum chale kis thikana

Teri yaadein aati hai, teri yaadein aati hai
Teri yaadein aati hai, kuch baatein aati hai

Dil hai nadaan apna kehti hai duniya, kehti hai duniya
Kaisa deewana ye sun to le
Humse hairaan duniya kaisi nagariya, kaisi nagariya
Kehta deewana ye sun to le
Dheere dheere ab yeh sehna hai
Aankhen bichaye ab rehna hai

Teri yaadein aati hai, teri yaadein aati hai
Teri yaadein aati hai, kuch baatein aati hai

top of the page

.
.
.
.
.
Mil Jaan Se Kabhi

.

Lyrics by Aslam performed by Lucky Ali and Group
.
Mil jaan se kabhi jab ho kisi ka intezaar
Kabhi Kabhi bahaana achaa lagta hai
Jab ye dil maane na

Hum pyaar mein kahin bhool na jaaye raasta
Bina koi garaz ke chalna rehta hai
Koi na jaane, jaane na 

Ye samaa, jaaye to phir aa sake na
Kahan ye jaaye, kise bulaaye, kal

Kal baat ho nayi saath rahe do pal ka
Naya naya nazraana achaa lagta hai
Ruka kahin ye jaaye na

Hai kahan, ye sawaal aaye jaaye
Sabhi yeh raahein, hume bulaayein, mil 

Mil, paate hai nayi der se aaye hain yahan
Yahaan begaana phir bhi apna lagta hai
Chahe koi bhi maane na...

top of the page

.
.
.
.
.
Dekha Hai Aise Bhi

.

Lyrics by Aslam performed by Lucky Ali and Group
.
Gharko mein nikla, tanha akela
Saath mere kaun hai, yaar hai mera
Jo bhi karna tha, kar aa gaya main
Pyaar ko hi maante chalte jaana

Dekha hai aise bhi kisi ko aise hi
Apne bhi dil mein basaaye huye kuch iraade hain
Dil ke kisi koney mein kuch aise vaade hain
Inko liye jab hum chaley nazaare bhi humse miley

Dekha hai aise bhi kisi ko aise hi
Hanste hanste yun sub ko manaate hum jaayenge
Barson ki doori ko milke hum saath mitayenge
Pyaar rahe, inke liye jo dhoonde woh unko miley

Thoda sa garaz hai, thodi si samajh hai
Chaahton ke daayre mein, rukna farz hai
Koi kehta hai, ke ghar aagaya hai
Aarzoo bhi arz hai, ke badthe jaana

Dekha hai aise bhi kisi ko aise hi
Dil ke jharoonko mein ab bhi mohabbat ke saaye hai
Reh jaaye jo baad mein bhi hamaare woh paaye hain
Inke liye, ab hum chaley hazaaron mein hum bhiomiley

Dekha hai aise bhi kisi ko aise hi

top of the page

.
.
.
.
.
Dil Aise Na Samajhna 

.

Lyrics by Aslam performed by Lucky Ali and Group
.
Dil aise na samajhna ki tu hai akela mushkil mod sahi
Hum rahe they kabhi na kabhi yahan par thodi der aur sahi

Is pal aaye hain, phir kab jaayenge
Kehne sunne aaye they, samajhke jaayenge
Mera na koi hai patha is jagah par
Yun to hai mera yeh jahan
Ambar bhi thehra hai abhi kehkashaan par
Faila hai dekho yahan wahan
Milke barasta yeh chala hai jahan par
Kisi ki marzi hai ho tum aur hum bhi yahan

Jab nahin tha jahan tab se hi koi yahan to
Dil kyon na mil ke rahen
Waqt rahen na sadaa, yun guzar jaayegaa

Dil ek saaye mein mil, reh jaayengi chahe do baatein
Jab chala jaayega, tu chala jaayega

Sunne wale ne, kehne wale ko
Woh baaten sunayi samajhne waalon ko
Taaren bhi kaise timtimathe raaton mein
Koi na tanha hai wahan
Chale hi jaathe hai yeh dil ko lubhaake
Unhi ke jaate hi aaye savera yahan

Dil aise na samajhna ki tu hai akela
Mushkil mod kahin

top of the page

.
.
.
.
.
Nahin Rakhta Dil Main Kuch

.

Lyrics by Aslam performed by Lucky Ali and Group
.
Nahin rakhta dil mein kuch rakhta hoon zubaan par
Samjhe na apne bhi kabhi
Keh nahin sakhta main kya sehta hoon chupakar
Ek aisi aadat hai meri
Sabhi to hai jinse milta hoon sahi jo hai inse kehta hoon
Jo samajhta hoon
Maine dekha nahin rang dil aaya hai sirf adaa par
Ek aisi chaahat hai meri
Bahaaron ke ghere se laaya main dil sajaakar
Ek aisi sohbat hai meri
Saaye mein chaaye rehta hoon
Aankhen bichaye rehta hoon jinse milta hoon

Kitnon ko dekha hai humne yahan kuch seekha hai humne inse naya

Pehle phursat thi ab hasrat hai samaakar ek aisi uljhan hai meri
Khud chaslke rukta hoon jahan jis jagah par
Ek aisi sarhad hai meri
Kehne se bhi main darta hoon apnon ki dhun mein rahta hoon.
Kar kya sakhta hoon
De sakhta hoon main thoda pyaar yahan par
Jitni haisiyat hai meri
Reh jaaoon sab ke dil me dil ko basaakar
Ek aisi neeyat hai meri ho jaaye to bhi raazi hoon
Kho jaaye to main baaki hoon yun samajhta hoon

Raste na badle na badla jahan phir kyon badalte kadam hai yahan

top of the page

Move back a page............move to the next page

Coming up :: Flash version of the website.

Copyright © 2001 Saurabh Garg

Mail || Contact || About webmaster || Privacy Policy || Our Sponsors

Hosted by www.Geocities.ws

1