This website is best viewed with Microsoft Internet Explorer 5.0 or more with 800 X 600 pixels and 16-bit color. Click here to get help on these topics.

.... Lyrics ....page02

Select one of the following songs.............
.
.
.
Tum Hi Sey Yeh Zameen Hai Jab Hum Chote  Kya Mausam Hai Yeh Mumbai Nagariya
.
.
.
.
.
Tum Hi Sey

4:00 min

Lyrics by Aslam performed by Lucky Ali and Michael McCleary
.
Raat chaandni chaai hui hai chamak raha hai tara
Thandi thandi yeh purvai socho kisne banaya
Tum hi ho pehley tum hi ho aakhir
Tum hi se saara jahaan tum hi se maa baap
Tum hi se bachpan tum hi se samaa

Paed, parinde, paani ka jharna es chaman ka mehekna
Neele neele phoolon mein bhavron ka hai yahi gungunaana
Tum hi se shabnam tum hi se khushboo
Tum hi se hai yeh bahaar tum hi se jhonke mast hawaa ke
Tum hi se fiza

Dono jahaan ka tu hai ujaala rab, tune hai humko paala
Tera hai ambar, teri hai dharti tera hai yeh jag saara
Tum hi se bada tum hi se saawan
Tum hi se hai yeh ghata tum hi se bijli
Tum hi se toofan tum hi se khumaar

top of the page

.
.
.
.
.
Yeh Zameen Hai, Aasman Hai

3:20 min.

Lyrics by Aslam performed by Lucky Ali and Michael McCleary
.
Yeh jawani jawani us pe aayi pareshaani
Apni mat mari, mat mari, har taraf na aamdani
Yeh zameen hai, aasman hai aur beech mein hain hum
Mare mare hai re hai re mare mare hai re hai

Na jaanoo kya maanoo kis kis ko pehchanoo
Yeh bhi jaanoo, woh bhi jaanoo ab mein na kisi ko manoo
Yeh zameen hai, aasman hai aur beech mein hain hum
Mare mare hai re hai re mare mare hai re hai

Bhatak rahe hein, ki manzil hai kahin dhoond rahe hain, ek nayi zindagi
Sab ko mile, sab mile, aur ho na kamee
Yeh bekaraari, karaari, yeh bekaraari
Yeh tanhai, hai aayee us pe aayee yeh judai
Yeh zameen hai, aasman hai aur beech mein hain hum
Mare mare hai re hai re mare mare hai re hai

Kis se mile hum, koi apna nahin hain fariyaadein, to kya kare koi
Ab seh seh kar gham piye jaate hain
Yeh zamaana, zamaana, naa pehchaana
Ab kya jataana, pachtaana sab ko hai bhool jaana
Yeh zameen hai, aasman hai aur beech mein hain hum
Mare mare hai re hai re mare mare hai re hai

top of the page

.
.
.
.
.
Jab Hum Chote

4:18 min.

Lyrics by Aslam performed by Lucky Ali and Michael McCleary
.
Jab hum chote hote they, socha tha ki yeh aisa hoga
Yeh zamaana kyon aisaa hai, meri jaan
Ab hum bade ho gaye 
Dekha hai ki yeh aisaa hai, yeh zamaana kyon aisaa hai
Meri jaan...

Rastey hain wohi, hai to pyaar ki kameen
Main jo dhoondta hoon mile kahan
Yeh kal to ek bahaana, zamaana
Sab ko kuch na kuch kar ke dikhana
Gulshanon ki kamee hai
Zindagi kaaton se bani hai
Nafratein bhi hain yaheen
Aur pyaar ki kamee
Rahi dhoonde kya tu ab yahan

Badley mausam, badley hum jaane ab anjaane ho gaye
Jaan kar hum ho gaye anjaane josh zyaada hosh kam
Hairaan hain, pareshaan hai sab
Qayamat nahin to yeh kya hai, meri jaan.....

Yeh zameen yeh aasmaan, phir milenge do jehaan
Banega phir se naya aashiyaan
Imtihaan ki ghadi hai, sahi hai
Jaise yeh din raat sey judi hai
Jisne jaana usi ne pehchaana
Sadaa yeh dil ki usi ne suni hai

Raaste khule vaheen hai nayi ye zindagi
Rahi chal diya hai tu ab kahaan...

top of the page

.
.
.
.
.
Kya Mausam Hai

3:06 min.

Lyrics by Aslam performed by Lucky Ali and Michael McCleary
.
Kya mausam hai phoolon kaliyon mein hoon main
Neele aasman mein o panchi ley saath mujhe

Is jeevan mein, mushkil aati jaati hai
Pal do pal ke liye, hans key tu jeele yaar mere
Prem ki boli bolo dil se naata jodo
Dastoor hai jahaan ka insaan hai kahan ka
Hardam khushi ka ho

Kudrat ke nazaaron ka panchi ke parvaazon ka
Khul ke lele mazaa o saathi panchi ki tarah
Kya mausam hai
Phoolon kaliyon mein hoon main
Neele aasman mein o panchi ley saath mujhe

Meri manzil kahan jaanoo na main naa jahaan
Saansein chale jab tak, chalta rahoon tab tak
Naa jaane kab ho subah himmat se zamaane mein
Manzil apni dhoondhoonga aandhi ho ya toofan
Rukoonga na, sun ley jahaan

Kya mausam hai phoolon kaliyon mein hoon main
Neele aasman mein o panchi le saath mujhe

top of the page

.
.
.
.
.
Yeh Mumbai Nagariya

4:21 min.

Lyrics by Aslam performed by Lucky Ali and Michael McCleary
.
Yeh mumbai nagariya, main dhoondo dagariya
Dil se boloon, jaan se boloon main hoon mumbaiya
Yeh mumbai nagariya, main dhoondo dagariya
Charon taraf kuch na aaye mujhko nazariya
Dil se boloon, jaan se boloon main hoon mumbaiya

Borivali, Andheri, Lower Parel 
Note, sikkey, rupiyon ka hai yahan khel
Jawani ke mele yahaan hote hain sale
Jisey chahe, jahaan chahe mil jaaye mel
Dil se boloon, jaan se boloon main hoon mumbaiya

Jidhar dekhoon nazar aaye log pareshaan
Aata, roti, daal, chaawal ka hai imtehaan
Platform logon ke bane hai makaan
Bhookh, pyaas, daud, dhoop iske nishaan
Dil se boloon, jaan se boloon main hoon mumbaiya

Jise poocho kahe woh to main hoon insaan
Tu hai insaan to hoon main bhi hairaan
Kaam yahan dugna hai, daam anjaan
Mein kahin aur nahin, yeh hai Hindustan
Dil se boloon, jaan se boloon main hoon mumbaiya

top of the page

Move back a page............move to the next page

Coming up :: Flash version of the website.

Copyright © 2001 Saurabh Garg

Mail || Contact || About webmaster || Privacy Policy || Our Sponsors

Hosted by www.Geocities.ws

1