This website is best viewed with Microsoft Internet Explorer 5.0 or more with 800 X 600 pixels and 16-bit color. Click here to get help on these topics.

.... Lyrics ....page06

Select one of the following songs.............
.
.
.
Aks Pyaar Ki Duniya Tu Kaun Hai Ek Na Ek Din Sandesh
.
.
.
.
.
Aks

.

Lyrics by Aslam, Mehboob, Sandesh
.
Chup gaye teri baahon mein jab shaam woh aaye
Ab jo kya dekha tu kaise door hum jaayein

Lage ke tu hai tu, yeh jo teri khushboo
Aasmaan mein ke doorse jahaan mein ke kissi zameen mein tu
Hai bahaana tu, hai khoobsurat tu
Abhi na jaana tu

Yoon to chaltey rehtey duniya ke silsilay
Bhaagta raha na chain hai mujhe
Zindagi ke kaam din rein hai mujhe
Dhoonda bhi nahin magar paas hai mere
Aise bhi nazaare kabhi sej mein huye
Mere paas tu hai ahsaas hai mujhe

Is ajnabi duniya, kabhi na badlaa tu
Ke jitna main tere paas hoon par aur tamanna doon
Hai bahaana tu, hai khoobsurat tu
Abhi na jaana tu, kabhi na jaana tu

Main kuch nahin samjhoon, jo kuch nahin janoon
Khuli nazar rakh ke bhi nazar na aaye magar humko
Door kare hamay jo, mujhe na samjhe to
Lagaaniyaan majbooriyaan hain, paas bulaana tu
Mera waasta hai tu, mera aasraa hai tu
Mera saath rakhna tu

Teri tanhai ke kitne raaz hai chipe
Tu bhi chahtaa hai aaoon paas main tere
Khone se pehle mil jaaon main tujhe
Khush hai jo ye saare rang aaj hain saje
Ek doosre se jab dil do mile, zindagi ye kaisi nayi dhang se chale

Hai bahaana tu, hai khoobsurat tu
Abhi na jaana tu, kabhi na jaana tu

top of the page

.
.
.
.
.
Pyar Ki Duniya

.

Lyrics by P.K. Mishra
.
Jahaan hai meri pyaar ki duniya
Woh thandi chaaon ki duniya
Aaj ye dil karta hai mastiyon mein gaaoon main wahan
Aankhon mein chal ke aayi teri yaad re
O mitwaa pyaar tera bhool ke main jaaoonga kahan

Chamakti ghataaon mein tera aashiyaana hai
Tujhe pesh yeh mera dil nazraana hai
Tamannaein meri rehti hai wahan
Turatiyaan chalti hai wahan
Payaliyaan bajti hai wahan

Hariyaali hai muskaai mere desh mein
Aaj ye dil karta hai mastiyon mein naachoon main wahan

Inhi parbaton mein woh tumhari sadaayein hain
Khayalon mein teri machalti adaayein hain

Suhaana hai ye apnan silsila
Ab dil se dil mila, na tum se hai gila yeh afsaana

Hmm...O saathi dil ko samjhaana
Bholi bhali mitti ka ye dil hai deewana
Har dil to azaad watan ke pyaar ka parwana

Aye aa aye aa oo aa aye ya, aye aa aye aa oo aa aye ya

Jahaan hai meri pyaar ki duniya
Woh thandi chaaon ki duniya
Aaj ye dil karta hai mastiyon mein gaaoon main wahan
Aankhon mein chalke aayi teri yaad re
O mitwa pyaar tera bhool ke main jaaoongaa kahan

Aye aa aye aa oo aa aye ya, aye aa aye aa oo aa aye ya

top of the page

.
.
.
.
.
Tu Kaun Hai

.

Lyrics by Piyush Pandey
.
Kahan se tu aati hai kahan ko tu jaati hai
Sapnon ko sajati hai apnon ko ley jaati hai
Baaghon mein jab behti hai kaanon mein kuch kehti hai
Aati hai nazar nahin saanson mein par rehti hai

Hawaa hai pawan hai vayu hai, purvaaee hai
Jeevan hai, jaan hai, ya parchaayee hai 
Lene aayi hai ya kuch mere liye laayi hai
Poochoonga mein kya tujhse kahan se tu aayi hai

Tu kaun hai, tu kaun hai...

Tu jab chalti chalti badal jab chalti tu girtey patte
Tu kehti to diye jalte tu rukhe, dil dil se milte   

Sagar ki lahron mein lehraati hai tu talay tul
Patton ke paayalon mein lati khan khan
Khat Khat koi nahin aisa ek jhonka hai
Kuch hai, such hai, ya tu ek dhoka hai

Tu kaun hai, tu kaun hai...

Kahan se tu aati hai kahan ko tu jaati hai
Sapnon ko sajati hai apnon ko ley jaati hai
Baaghon mein jab behti hai kaanon mein kuch kehti hai
Aati hai nazar nahin saanson mein par rehti hai

Tu kaun hai, tu kaun hai...

top of the page

.
.
.
.
.
Ek Na Ek Din

.

Lyrics by Aslam, Aijaz
.
Ek na ek din, tum aaogay
Mil jaayenge aise hum tum...

Kabhi kabhi akele mein humko aisa lagta hai
Har din ke uljhanon mein ye dil uljha rehta hai
Hum yahaan, aur tum kaheen
Is tarah bin tere kitne taare gine ki raatein rang gayi
Phoolon ka sehra woh bandh ke subah aa gayi
Aankhein khuli, sawera hua
Ke dil ne kaha, aisa na ho ke yoon deri ho jaaye
Deri huyi aur ruk bhi na paaye
Ek na ek din, tum aaogay
Mil jaayenge aise hum tum...

Ek na ek din, aise hum tum

Kabhi kabhi wafaaon ko humne douna jaana hai
Hum ye nahin kehte ke mohabbat humne samjha hai
Pyaar wafa, iraade kasam
Bhula ke har gham yoon hi manzil humko tai karna padta hai
Hum jo nahin hain, humko vaise banna padta hai
Khush hai kaun, zaahir hua
Aisa ye jahaan
Har sadaa dil ki tujh ko bulaaye
Jaayein kaheen bhi hum, tujh ko hi paayein
Ek na ek din, tum aaogay
Mil jaayenge aise hum tum...

Ek na ek din, aise hum tum

top of the page

.
.
.
.
.
Sandesh

.

Lyrics by Sandesh
.
Aey, sawera chale, jaise milne aa gaye mujhse sab dost mere
Aey, rang bikhra, is taraf baadal hai us taraf suraj nikla
Chargi phire, door hawa mein ude
Hum to pehli pehli saawan ki ghata se mile
Ghar se koi pukaare paas mere tu ab to aa re
Sadiyon chalte tab milte kinaare yahaan

Dil maine to diya, badle mein tu mujhse vaise hi pyaar kiya
Tum se bas kehna hai, kabhi ho na jaana gum
Hum se door na jaana, na tanha rehna tum
Ab to saath ka jeena hai
Dil ka kehna sun, dil ka kehna sun

Aey, hansti saher teri pehli ye kiran choome sagar ki leher
Aye, pehle huye, saare badal bhi garaj ke mile phir keh to diye
Chargi phire, door hawa mein ude
Tum se pehli pehli baar is jahaan mein mile
Ab mile hain do kinaare, apna tu hi to hai pyaare
Sadiyon woh chalaaye, phir milaaye yahaan

Aey, jaise bhi hua
Allah rakhe saath tujhe meri nikle dil se dua

top of the page

Move back a page............move to the next page

Coming up :: Flash version of the website.

Copyright © 2001 Saurabh Garg

Mail || Contact || About webmaster || Privacy Policy || Our Sponsors

Hosted by www.Geocities.ws

1