Thuk ke choor badan sara
toot gaya, bikhar gaya, vajood mera

loag shoar machatay rahay
geeton se uksaatay rahay
aur mein thak chuki thi
tanha thi
bazuu shul thay
qadam bojhul thay
maathay pe pashemani ke qatray
bikhar gaay thay baal bhi meray

loag shoar machatay rahay
geeton se uksaatay rahay

sar bhi ab to jhhuk gaya tha
aankhein thi sharamsaar
meinay to chaha tha kuch aur
qismat nay bazi ulti
hogaee phir mujhko maat

loag shoar machatay rahay
tanz ke teer barsaatay rahay
aur mein khud ko dhoondh rahi thi
bikhray alfaaz samait rahi thi
guzray lamhay soach rahi thi
zakhmon pe marham lapait rahi thi

dukh mera koi kia jaanay
yeh to piyaar ke khail ka hai dastoor
koi jeetay aur koi haaray
qismat jissko bhi chhkka maaray



bhaiyya ke sung, bachpan ke din saahil pe khailay
mein rait ka gharonda banati, bhaiyya ussko dhaatay
mein roti, bhaiyya hansatay
mein rooth jaati, woh haath jorh manatay
phir ik din woh khud hi rooth gaay
kisi gehray samaner beech
door samander paar jaa sooay

aur mein rait ka mahal banati rahai,
laherain ussko dhaati raheen

ik roaz meri aapa ghar laut ke aagaee
usskay sar ka taj, koi aur le gaee

mera munaa sa bhai
ik roaz gali mein khailnay gaya tha
aisa gaya ke, laut ke na aya

aur mein rait ka mahal banati rahi
apnon ke gham ussko ghatay rahay

phir meinay ik sapnon ka mahal banaya
khaboon se, khushiyoon se sajaya
lekin kha gae usko kisi ki nazar
woh mujhko chhor ke chala gaya
armanon ka khoon hoaa
sapna mera toota gaya

aur mein rait ka mahal banati rahi
aur khud hi ussko dhaati rahi

khud hi roti, khud hi hansti
khud rooth ke, khud ko manati

aur phir naya ik rait ka ghar banati

Hosted by www.Geocities.ws

1