Bharakti ik aag seenay ki bujhaana chahoon
Dil ka khoon karoon, ghar ke chiragh bujhaana chahoon

Aankh ki nami se meri, kia kia na shakook ubhraay
Aanso baha ke chaar, mein tofaan laana chahoon

Duniya ki muhabbat, ab to meray galay ka haar hai
Aur apni bahoon se khud ko hi galaay lagana chahoon


Thokar se teri jo na toota, is dil-e-babakht ko
Piyaar ki ik meethi lori se ab to sulaana chahoon

hairaan hoon, chandni kiyoon bichi hai meri rahon mein
mein to sab ki raahon mein, khaar bichaana chahoon

ro ro ke, meinay piyaar ke is shajar ki aabiyaari ki hai
deewana yaad nay usski kiya hai, jisko bhulaana chahoon


neem tareeki mein ik hiyola sa daraata hai akser
shayed mera takhayyal hai, jissay bhaganaa chahoon


aaj ki raat thaam le, sahar na honay de
na de tasaali mujhay, bas ik raat ronay de

sooraj to sulagta hai, meray dil ki tarha
shaam honay tak dil ko bekhabar honay de

nadya mein behta yeh taiz taiz paani dekho
waada nibhana hai, mujhay lehron ka musafir honay de

Gul unko hichki lag gaee dastaan sun kar meri
na de tassalli abhi, kuch dair ronay de, kuch aur asar honay de

moonh phair kar sabsay lab-e-darya baithi rahi raat bhar
piyaas to bujhaali meinay, ab yeh daaman bhi zara tur honay de


ik zara dil ko bekali si hai, kiya kijiye isska
koi duaa yaad ho to zara mujhpay dam kiyjiye isska

shoar saha nahi jaata humsay ab to teri mehfil ka
akailay mein bhi jee ghabraay, kia kijiye isska

roaan roaan bolta hai, begunahi ki gawahi denay ko
zabaan ko magar bolna gawara nahi, kuch kiyjiye isska

nahi maanga tumsay kuch, bas tanha chhor do mujhko
lahad mein bhi farishtay aan milay, kia kijiye isska

subha hotay hi khawab to saray bhol jaain gay
shab ko din ki talkhiyaan jo yaad aain, kia kijiye isska


mausam-e-bahar aa�ay to dil ka chaman sajaiye
chehray pe nikhaar aa�ay, to geet khushi ka gaaiye

samnay aaker, phir chhup jaata hai jo baar baar
aaj uss raaz se bhi to pardey ko aap uthaaiye

dekhiye humnay sharma ke kitnay haseen lamhay khoaay
aap hi kuch boliye, kuch to farmaiye, yoon to na ghabraiye

aisi bhi kia jaldi hai, ruk jaiye, hamain hal-e-dil sunana hai
dekhiye yoon na nazrain jhukaiye, hal-e-dil chupaaiye

lijiye hum haar gaay aap to yoonhi khamoah bhaita kijiye
humko bhi na dekhiye, bas ye kaliaan masaltay jaaiye
Hosted by www.Geocities.ws

1