ab iss ghar mein jalnay ko koi chiragh nahi, diya nahi
mujhay tumharay piyaar nay konsa daagh nahi jo diya nahi

apnay hi ghar mein rahtay, kissi aur ki chitaa pe jalay
qabar nay bhi kafan pe hamaray konsa daagh nahi jo diya nahi

dukh sabhi hans ke sahay hain, iss seenay pe
laho badan hogaya, koi aisa daagh nahi jo diya nahi


dil ke veeranay mein mehfil ko sajana kuch aisay
khazaan aay jab to zard patoon se shajar ho begaana jaisay

dil lagi ka meray jab honay lagay samaan nazar phair lena tum
piyaar ki lori de ke gham ki waadi mein sulaay zamana jaisay

haath thaam lo mera phir doobnay kar dar nahi hoga
aankh mein yoon aajao meray, khawab koi suhaana jaisay


tujh tak jiss dum rasaii hoee naseeb mujhko
garebaan tha chaak, dil hoaa tha ghareeb

dushwaar raaston pe chaltay mushkil na kuch hoee
aandhiaan chalnay lageen, jab teray hoaa tha qareeb

aarzo teri liye dil mein, tamannaon ki duniyan puhanchay
dard ka saath mila tha aur sakhoon hoaa tha raqeeb

aankh utha kar kabhi na dekha tha jiss shakhs ki jaanib
ussi ke paaon lenay laga piyaar mein jab hoaa tha ghareeb

tera marham na aay ga kuch kaam, har zakhm hota hai judaa
humhain to tera khaloos se dekhna buhat tha, per yehi na tha apna naseeb


sahaara dhoondnay waalay, besahaara rah gaay hain
saahil bhi chhota humsay, ab bekinaara rah gaay hain

laakh dagmagaay qadam, per na chhora kabhi tera saath
jo saath chalay thay kabhi, wohi to besahara rah gaay hain

chaand ke saath tha taara, aur tuu tha meray paas janum
ab na tuu na taara, chaand aur mein besahara rah gaay hain

apni khushi se tujh pe qurbaan sab kuch kardia
kashti dabo di, aas bhi ley gaay tum, hum bekinaara rah gaay hain

zahar pilla detay, khanjar kardetay seena ke paar to hum chup rahtay
samander mein dabu kar, saahil se chillatay ho�hum besahara rah gaay hain�

tasalli di jo sab nay to farmaya �sambhalo ke dil mera doobta hai�
�khud to woh doob kar kinaaray lagay ga, hum bekinaara rah gaay hain�

doobtay dekh kar hamain mazeed famanay lagaay ghairoon se woh
�woh dekho leta hai, sahara doobti kashti ka, ik hum hi besahara rah gaay hain
Hosted by www.Geocities.ws

1