kitnay diloon ko dukhaaya, kin aakhoon ko rulaya
kiyoon khamoash khara hai, samander ye bekinara

muhabbat ki jissay, pather ban ke dil mein aa basa
chaoon khaloos ki di thi, piyaar ussi se kia tha

jurm ghinaaona na tha, moonh phair kar kiyoon jaanay lagay
gar yaad aay to yaad kar, shareek-e-gunaah mera tuu bhi tha


tees dard ki meray dil mein bhi uthti hai, gar mehsoon karsako
matti ki gurya hoon, phir pather ki moorti kaisy tuu nay jaana

dil, aankh, lab muskara rahay hain aaj
shayed gham koi tujhsey chhupa rahay hain aaj

aankh mein hi khushk hojaanay walaay aanso
dastaan-shiqawat-e-hayat suna rahay hain aaj

tum jab yaad aao chehra mera bolnay lagay
jabhi to daaman mein moonh chhupaa rahay hain aaj

kal subha ubher aa'ay gee maathay pe ik nae lakeer
khawab teray humko jaaga rahay hain aaj

chahoon to duniya ko jhuka loon in qadmon mein
mager hum to rahon mein teri hi bichaay jaarahay hain aaj


Woh saath tha meray, magar hum tanha jaagay
Jaisay chanda soaay chandni mein, aur tara jaagay

Zakham to piyaar ki lori nay sula diye thay sabhi
Aankhein hamari aur yeh ik mun dukhkta jaagay

Ik khauf tha jis nay neend uraaee hamari
Woh aata ho kisi dum aur hum na jaagay

Saaz khamoash thay, sab geet bhee thay besadaa
Raat key is sakoot mein bhee hum baar haa jaagay

Aankhoon mein raat katna, aakhoon sey batain karna
Yeh ihsaas-e-muraawat hamara, kahin na yeh duniya jaagay


      yeh barasta hoaa jo badal hai
      meri aankhoon ka hi to kajal hai
  
palkoon mein jisay chuppa rakha tha
   dil torh gaya aaj, kia khoob qaatil hai
  
uski meinay to mani thi, wohi manta nahi
   naa'ay mausam mein naa'ay shehar ka qaa'il hai


dagh-e-dil bhee jalay, aankhoon key diye bhe
   luuta raahzan nay, aur doorr abhi apni mazil hai

teray naam
Hosted by www.Geocities.ws

1