| zinda they jab talak, seenay mein sab dard chuupa'ay maut nay meri dekh, teray lagaa'ay, sab zakhm dikha'ay thay to buhat naik naam jab tak tuu tha mera raazdaan uthnay lageen ungliaan, lehad mein abhi utarnay na pa'ay dekh ke daman-e-taar mera dushman ka bhi dil bhar aaya maut par meri mager tum, jhootay aansoo bahanay bhi na aa�ay sitam hai kismat ka ghairoon nay utaara qabar mein humko sahara dena to kuja, tum,do qadam saath chalnay bhi na aa�ay galee galee ho gaa'y hain ruswaa, gosha nahi milta moonh chupaanay ko duniya nay to dekha, yeh tamasha, bas ik tum hi na dekhnay aa�ay itna roo aaj Shama keh aankh mein teri aansoo na rahay koi aur tuu ro bhi na sakay, jis dam zaalim woh rulaanay aa�ay Tuu kehtee hai mujhay kisi sey adaawat bhi nahi Mushkil to yeh hai, mujhko khudsay muhabbat bhi nahi Loag kahin mujhko bewafa, to kia hoa, kuch gham nahi iska tuu bhee to wafadaar nahi, aur tujh sey koi shikayat bhi nahi mein nay to khaloos sey ki thee dushmanee ussay koi kia samjhay na yeh dosti nahi, aur adaawat bhi nahi mein nay to teray sab dukh apnay daman-e-taar mein chupaay woh meray gham sahay, itnee usko mujhsay muhabbat bhi nahi parwaana jalay to jalay apni hi aag mein usnay bhi shayed shama ka dard nahin jana shama jo hoon jalti hoon raat raat bhar, sirf teray liye tuunay to kabhi bhoolay se meray aanso ko na pauncha zara tehro, ik pal, ik baat meri bhi suntay jaaoo jo na kaha kisi say kabhee aaj tumsay hai kehna meray dil ka zang aalood yeh darwaaza koi hai yahan aaj jo chaahay issay bhi kholna mein to jalti hoon jaloon gee tum intna to karo jaalaa jaalaa kar mujhay bas phir bujhaa to dena gul kardo gay yeh shama aaj tum to phir na hoga savera kis ka dil dukhaya karogay phir, kaun sahay ga tumhari jafa chaand raat hai, dil udaas hai, yaad aya hai koi phol baaloon mein lagaya to yaad aya hai koi kaisay bhool ja'ain hum woh din aur woh raatain aaj mehmaan naya ik ghar aya to, yaad aya hai koi kiya na gila, teri jafa ka, na kabhi shikwa koi duniya sey aaj magar tuu nay mujhsay kiya shikwa, to yaad aya hai koi taroon bhari raatoon mein, chupkay chupkay batain karna chaand aaj phir nikla hai , to yaad aya hai koi jis ke dam se qaiyam thi meray jeewan ki har khushi chamman mein ik Gul, kumlaya to yaad aya hai koi |
![]() |
![]() |
![]() |
![]() |