din to hain udaas,aur veeran hain raatain meri
log bhee hans kar ab taaltay hain batain meri

tum jo kabhi paas thay, kar laytay thay batain dil ki
ab kis say kahoon, koi bhi sunta nahi hai batain meri

udaad lamhay bhi guzray, hans kar teri qurbat mein
kabhi tum hansatay thay, ab hansain loag sun kar batain meri


kis kis ko yaad rakhtee, aur kis ko bhol jaatee
keh ab to yaad nahi hain, khud mujhko bhee batain meri

kia mumkin hai keh woh din phir sey laut aa'ain eik baar
aur phir woh sunay ga Gul ke paas baith kar batain meri


teri yaad kia aaee, dil roya, aankh bhar aaee
teri yaad meray saath hai, kia yehi hai tanhaaee

tera khayal hai, warna qasad marnay ka ham saubaar kar chukaay
hamaray to saath hai janam sey, tumhain raas na aa�ay gee tanhaaee


dil ko samjhaya buhat, na maana, leta raha naam tera akser
ham to thay hi badnaam, aur tumhari bhee ho gaee ruswaee

kal shab chaand kuch chup sa tha, taroon ki mehfil mein
shayed teri yeh dil-lagee uskay dil ko bhi na bhaee

aaoo to kuch roz aur khawab dekhain, dil ki tassallee ko
phir to hum hongay, barish bhi hogee, aur hogee meri tanhaaee


gulshan ke sab phool humnay apnay mazar par khud charhaa liye
aur zamanay ke diye khaar bhi to sab daaman mein chupaa liye

ik dil ki khalish mitaanay ko kiye thay sajday to buhat
armaan bhi thay buhat magar, kahin dil hi mein chupaa liye

mein nay teri talaash mein sab kuch to apna luta dia
aur teri ik muskarahat ko aankh mein aanso sajaa liye

dil kiyoon aaj doobta jaata hai, woh bhi to aaj aa'ay nahi
aanso na dho sakain gay yeh daagh, jo daaman pey lagaa liye

roshni mein dam ghutnaay laga mera, to band khirkiaan karloon
veeran raatoon mein chandni sey hum nay dil key diye jalaa liye

ab tak hai meray naadan dil ko kisi khushkun khabar ka intizaar
shayed koi aa�ay ga kal, jabhi  balloon mein gajaray sajaa liye


meray Allah, ab mera yeh imtihaan kar dey kuch to sehal
jitnay bhi they usskay buth, dil key mander sey sab hataa liye


meri betaabi dekh, na dekha mander, na masjid na kaleesa
ji dar sey guzraay tujhay paanay ki duaa ko haath uthaa liye



Aansoo bhi tham gaa�ay behtay behtay taiz hawa key jhonkoon mein
Chaltay rahay humto qadam kabhi na rukay apnay, in dushwaar raahoon mein

Dukh apnay bhulaa kar khushiyoon key phool bakhairay, chaman khilaay
Gulzaar roshan kardiye jahan ke liye, aur allaaoo bharak rahay hain dil mein

Tujhko chaahnay ki saza mili kuch yoon, khudko khoya, tujhko bhi na paa sakay
Ab na dekh tamasha door baith kar sangdil, kuch nahi baqi raha is khail mein
Hosted by www.Geocities.ws

1