yeh nasha nahi hai sharab ka
khumaar hai piyaar ka, uss gulaab ka

saamany meray hai woh har gharee
qareeb na jaaoon gumaan hota hai saraab ka

tum dhoodh lo pehchaan lo mujhay abto
aoo paas aaoo, rukh ulat do meray hijaab ka

kia khabar kitnay roop hain teray
chaand chehra, mukhra hai aaftaab ka

chaand taaray bhi Sharma jaain dekhkar
aur sharminda hai chehra maahtaab ka

subah ke aatay chiragh gul hojaain gay
piyaas bujhaloon kia pata hubaab ka

mar rahay hain sisak sisak kar teri yaad mein
bhool kar kabhi na kaha, kia haal hai janab ka?

Dam nikalnay ko hai kisi dam apna
Tassallee na do ab, kia faida sawaab ka

Kal shab aisee chalee hawa gulshan mein
Subah na dekha nishan kisi kali mein shabab ka

Lab-e-khamoosh sey kee theen mein nay batain
Thakan hoee kia soch kar sawal meray jawab ka

Dil ki awaz sey sunaya tha geet main nay
Jhoomi mehfil jo chaira taar ussnay rubaab ka

Na rakho marham meray zakhmoon par
Ab sakoon sey hoon guzar gaya waqt azaab ka


Maar dala hai hum ko to iss leynay aur denay nay
Boajh utaar painka hai ab to har hisaab ka


Hosted by www.Geocities.ws

1