khamoas darya ke sapaat seenay pe
ik nao dolti jaati hai
tanha tanha, khamoash khamoash

kitnay hain dard duniya ke,
jo dekhay issnay
kitni boliaan sunti hai roaz
magar rahti hai khamoash khamoash

aarzo hai issay talatum ki,
bikhar jaanay ki,
armaan hai dil mein,
ke aay koi tofaan, machalta, tarapta

baha ley jaay, sab dard isskay
isski khaoash duniya mein
barpa kardey koi hangamaa

mein iss nao ki hoon sawaar,
ik musaafir

nasoor kitnay dil mein liye
behti jaarahi hoon
isskay sung,
mein nadiya se milnay jaarahi hoon
jissay hoga mera sangam

koi na rokay mujhay
ke mein hoon under se toofaan

baha le jaaoongee, sab kuch
koi chattan jo rokay gi aaj

ah, mera sangam na hosaka
meri nadiya se aaj

ye darya, ye sada ka khamoash darya
kahan le chala mujhay aaj

samander mein dabonay ko
gunaah apnay dhoonay ko
de ke qurbani meri
kardey ga hawalay usskay
kaash, koi rokay isko

aaker badal de rusta isska
jaanib uss nadiya ke
jissay hona tha mera sangam aaj
aahista chal hawa
naa chhair aa saba,
na rukh morh meray baadbaan ka
mein talash mein hoon kisi ki
mujhay jaana hai buhat door
kai samander paar

toofaan se larh ke
lehroon ka moonh torh ke
mujhay paana hai ussko
jisski mujhay talaash

kahan dhoondon ussay
dil mein apnay, ke hawaoon mein
lehroon ke sung
sahiloon pe, ke tofanon mein

nadiya nadiya, saahil saahil
toofaan toofaan, leher leher

mera sar jukhnay laga hai
aankhein thaknay lagee hain
mager hai phir bhi yehi aas
mein paa loongee ussko
jisski mujhay talaash

jab ye yaqeen hai meray dil mein meray
phir kia dar mujhko
tofaan ka, taiz hawaoon ka

bhanwar mein gar phans jaay meri kashti
aur jabray kholay, haiwaan lapkain
jaanib meray,
mujhko dar nahi,
woh bacha ley ga, mujhko
paas apnay bula ley gaa mujhko
woh, jisski mujhay talaash
teri talaash
   thi mujhko
Hosted by www.Geocities.ws

1