| mahaul ka sannata dil ki tanhai shaam bhi, shaam-e-intizaar aankhein hoon darwaazay pe dil har aahat pe dharkay shayed koi aya? woh aya? intizaar sulgaa raha hai maut se qareeb le jaaraha hai intizaar na karay koi kisi ka kabhi koi mager intizaar karaha hai tera aur karti rahay gee, intizaar ab to hai maut ka hi, intizaar phool to khilaay hain sehan mein aaj meray khirkiaan bhi khuli hain aur darwaazay bhi sab hawa ke jhonkay, phoolon ki khushbu ghar ko meray mehkaanay lagi aur mein chhut pe aan khari hoee aakhoon ki aut banaay door kuch dekhnay ki koshish karahi hoon door aakaash pe, ik saya ubhraa woh aya...haan woh aya meray sar pe woh aanchl ki tarha chhaya mein daur kar kamray mein aagaee khirkiaan band karleen aur darwaazay bhi lehaaf mein moonh chhupaa liya aur bahar tha ik haseen manzar chhaya aaj mausam ki pehli baarish jo hoee ye dheeray dheeeay chalti sard sard hawa badal ki garaj, bijli ki chamak barish ki ye boondain aur mitti ki mehak jala ke mujhay chali gaeen aanan faanan........ |
| eik tareek, aur khamoash raat ko jab meinay teri muhabat ka iqaar kia tha aur teri aaghoash mein panah li thi teri sanson se naee zindagi li thi meray daaman pe lagay daghoon ko teri muhabbat nay dho daala tha tuu meri muhaabat meri dharkan hai meri ulfat mera mehboob tuu hi to hai mager ab tujhko chhor ka zingagi ke ik safar pe jaana hai mujhko mera dil to magar dharkay ga sirf teray liye tuu aaj muskara ke mujhay alvidaa keh de aur ye waada kar mujhsay ye yaqeen dila mujhko ke meray dam tortay hoaay badan ko apni goad mein panah de ga meri ukhri hooee sansoon ko apnay hontoon se chunaay ga aur apnay dil ke kisi tareek konay mein mujhko chhupaa le ga mager ab tuu mujhko muskar ke alvidaa keh de |
![]() |
| Alvidaa |
![]() |
![]() |
![]() |
![]() |
![]() |
![]() |
![]() |
| will you??? |
| i'll wait...for you... |