chaukhat sey lagi, raah teri tak rahi hoon aakhein bichaa'ay
khudfaramoshi ka hai aalam, koi na aaj mujhko jagaa�ay

mujhay to intizaar tha tera sadiyoon sey, aur aaj bhi hai
tarasti aankhein, khuli baahain, sapnoon ki baraat sajaa�ay

tamannaaoon key bhanwarr sey ik teri chaahat hi nikaalay gi
toofaan raat,doobti naaoo ko meri tera piyaar hi kinaar lagaa�ay

haan toonay to nahi kaha tha, meri raah takna tamaam umer
kahan kho dia Meinay tujhay, shayed to hi mujhay paa�ay

yaadoon ki basti mein teri koi bhi yaad ab to baqi na rahi
doorr kab tak rahay ga, gul say, betaab aarozu tujhko bulaa�ay


Mera haal kia hai? Kia poochtay ho, sayoon ki duniya basa lee hai
Uski jafa ka dhang dekh kar , ik chattan senay sey laga lee hai

Rah-e-hayat mein kitnay dukhoon ko pachhara tha humnay
Ab inhi aahoon sey hum nay to lau laga lee hai

Raatain hain chandni, magar meray aangan mein hai andhera
Dil ko jala dia hai, aur aas ki ik shama bhi  jalaa lee hai

Ab to apnay dil par bhi kuch bharosa nahi raha mujhko
yehi uski berukhi dekhkar khayaloon ki basti basa lee hai

Pather bhi intnay nahi lagay thay ke zakhmi hota badan mera
Is gham-e-dauraan ke zakham kafi hain, un par hi marharm laga lee hai


Aanso to palkoon pay chand hi aa�ay, charagh na phir koi jal saka
Badal bhi barsay garaj garaj kar, mann phir bhi piyaasa rah gaya

Khud hi kuch gul torh kar, apni turbat saja lee hai humnay
Har ik gosha mehak gaya, aur dil phir bhi piyaasa rah gaya

Andhera kar gaya, abar ka ik chhota ka kala tukra meray aangan mein
Subah ki aas liye, raatain jaageen, mun phir bhi piyaasa rah gaya

Barish ki ik ik boond nay aag lagaee dil mein, ashkoon nay bhi jalaya
Aankhein jal thal, hoont larzaan thay, aur man phir bhi piyaasa rah gaya

Meray armaaon pay kis shaan sey chaltay ho, goya sookhay pattay
khilonay toro,mera dil na toro, khailnay ko kia mera dil hi rah gaya

                                                                                                             

Jis sey bichhar kar mar jaanaa tha, woh to saamnay rahta hai
Yaadain hain uski paas meray, aur woh un mein rahta hai

Dil ka rasta band karoon, keh aankhoon ko band rakhoon
Tasveerain uski tarsain din raat, is dil mein woh rahta hai

Hawa ka rukh badal gaya, ghamoon ki aandhi thum gaee
Uski nazar bhi badal gaee, meri aankhoon mein magar woh rahta hai

Jis rahguzar pay nikli, uskay paoon key nishaan hi milay
Jaahan khaar sey ulajhi, woh shajar aaj bhe mujhsay sharminda hai


Muskaratay laboon ki tarap na dekh sakoo gay, gar dil mein jhaanka
Dharaktay dil ki dharkan band hoe to kia, ik sangdil to zinda hai
Hosted by www.Geocities.ws

1