| kai dinnon baad sunaaee di hai mujhay sadaa meri yeh sakoot kaisa hai, kiyoon ajnabi lagti hai sadaa meri khaamoashiyon ki ik dewaar khari hai, teri aur meri raah mein meray siwaa koi na sunaay, baazgasht hogaee hai sadaa meri manzil se buhat doorr le aya hai aaj mujhay tajassuss mera laut aanay ko ab pukaarti hai, rah rah kar sadaa meri ik khumaar sa hai nigaah mein, dil pe bhi hai ghubaar sa tuu chor kar chala gaya, kia thi meri khata, pukaraay tujhay sadaa meri wahan undheray mein aati hai nazar ik shabih si mera saya hoga, tera tasavvar hoga, ya hogi sadaa meri har shaam naay andaaz se rulaata hai ab to dil mera dil ko aah bana kar, geet sunaati hai zamanay ko sadaa meri Tamanna thi jis ki woh mil gaee tanhai,phir beqaraar kiyoon ho Aana to hai khushi ko eik din, phir shidat-e-intizaar kiyoon ho tum raat ki baat kartay ho, meinay khaay hain din mein dhookay jab galay maut ke lagna ho, to koi mansoba-e-faraar kiyoon ho saans bhi ruk ruk ke loon,to dam ghutnay ka andesha rahay zindagi mei, maut mei, ye kashmakash,itni takraar kiyoon ho apna to khayal itna nahi, bas tumhari hai fikar kuch kuch baad marnay ke meray, tujhko, kissi aur se piyaar kiyoon ho dekhoon to zara dastak di hai ussnay, ya naseem-e-sahar hai woh to aakay,jaa chukaay, har aahat pe chonkti baar baar kiyoon ho dasht nawardi se jo milay fursat, to ghar ko sanwaroon jirs-e-karwaan-e-hayaat khamoas ho to daastaan sunaoon safar mein hi garche guzray gi umer apni to phir bhi raah mein jo koi ghar dekhoon, shab to basar karoon sehra ki tapti dhoop nay chehra badal dia tha itna mera sarab mein akss apna dekhoon to soorat teri dekhoon tujh tak jo raasatay thay, woh sabhi kho diye humnay dewaangi mein ab to har saraa�ay ko bhi apni manzil samjhoon zindagi ke peechay bhaagtay, ik din maut ka raasta mil hi jay ga aur zindagi ka qarz jo baqi hai, woh adaa bhala kaisay karoon safar likh dia meri qismat mein, kiss gunaah ke badlay dewaangi mein keen khatain, ab doash taqdeer ko doon bas chand lamhoon ki mehman hoon, phir na dekho mujhay soorat teri aankhon mein bhar loon, haath teray choom loon in raastoon pe mujhay apni manzil ke nishan dhoondhnay do awaara nahi hoon, mein to kissi ki talaash mei hoon dekho woh roshni, shayed qaafala koi jaata hai tehro mujhay bhi ley chalo,bas ik baar tujhko dekh loon mujhsay kuch bhi na poocho qafilay waalo kaun hoon? kahan se ayee? kidher jaati hoon? |
![]() |
![]() |
![]() |