pinjray mein band bebas parindey ki manind
meri rooh, meray jism ki qaid mein hai
tarpti rahti hai, mah-e-be-aab ki manind

rooh maangay aazadi,
jism muqayaad rakhnay pe bazid
rooh aur badam ki iss jang mein
mera dil zakhmi hoaa hai,
aarman ghutnay lagay hain
khushiyoon ka qatal hoaa hai,
aur jang to abhi jaari hai
hoti rahay gi yeh jang
jis dam ye dam niklay ga
rooh bhi hogi aazaad
jism aazaad
ik khalaoon ka hoga musafir
ik khaak mein jaay ga mil

donon ke rustay judaa judaa
jaisay zameen se aasmaan judaa
jaisay nadiya ke do kinaray
jaisay parbat se badli judaa

waisa hi to hai in donon ka rishtaa
phir ye mail hai kaisa?





subha ka woh taara tanha
aur mein tanha
woh aagay aagay chalta raha
mein peechay peechay aati rahi

basroon se yehi kaam hai apna
uss taray ke saath saath chalna

phir mein tanha kaisay hoon
kisnay kaha mein tanha
mera jism, meri rooh,
woh taara meray saath
mein tanha nahi hoon
mein khud apnay saath hoon
ab kia mushkil, safar kat hi jaay ga

ghamoon ki aandhi
dukhon ke ye toofan
guzar hi jaain gay

mera hamsafar ye taara
jab mein thak jaaon,
woh ruk jaay
mein sojaaon
woh sojaay
usski meri maut ka ik hi din hoga
isski meri eik kahani
eik haqeekat
woh suha ka taara
mein raat ko jalnay wali shama.....






Hosted by www.Geocities.ws

1