UDAAS SHAAM....TERAY NAAM


kal shaam buhat udaas thi
sard hawa bhi chal rahi thi
aur mujhay tha tera intizaar

eik aahut jo hoee,
mein yeh samjhi keh tuu aaya
murh key dekh to, kuch bhi na tha
tuu to nahi tha

chund sookhay pattay,
kuch tooti shaakhain
aur kuch yaadain
yaad aanay lageen teri batain

magar woh to hawa ka ik jhaunka tha
jisnay mera daaman hilaaya
jisnay mera aanchal uraaya
meray baaloon ko chooliya kuch aisay
tuu nay mujhay chooliya ho jaisay
jaisay tuu nay isqadar piyaar se pukaara ho mujhay 
jaisay tuu nay samaitaa ho apni aaghosh mein mujhay
magar woh to hawa ka eik taiz jhaunka tha
tuu nahi tha

phir mujhay honay laga mehsoos
teri ungliyoon ka lamas
teri saansoon ki mehak
teray dhahaktay badan ki luau
teray piyaar ki khushboo
teri awaaz
apnay kaanoon mein
apnay shaanoon pay
apnay gaaloon pay
apni sansoon mein
is Jaltay badan ki aag mein
magar woh to baarish ka pehla katra tha
tuu nahi tha

phir yoon sard hawa key jhaunkay nay aawaaz di mujhay
jaisay tuu nay pukaara ho baray piyaar sey mujhay
jaisay tuu nay apni madh bhari aankhoon sey dekha ho mujhay
jaisay teri baahon nay bari chaah sey samaita ho mujhay

mein bekhoodi mein chalti rahee
teri tamanna mein bhatakti hi rahee
teri aaghoosh ki hiddat dhoondti hi rahee
baarish key katray
paani ki boondain
teri ungliyoon ki tarha
meray sulagtay badan ko
chhoonay lagay, piyaar karnay lagay
meray janam janam key piyaasay mun ko
taiz baarish nay kuch istarha sey bhigooya aaj
jaisay tuu nay apni baahon mein bhar liya ho mujhay
jaisay tuu nay choo liya ho mujhay
kitnay piyaar se, kitni chaah se
mein simmat gaee, teri aaghoosh mein

baarish ki yeh boondain
jalaati hain mujhay
teri yaad, yeh doori, yeh faasalay
tarpaatay hain mujhay
tarsaatay hain mujhay
aaja meri duniya mein ke
piyaasay mun ki,
inh aankhoon ki
piyaas bujhay

dil ka diyaa
aakhoon key deep jalaa�ay
sapnoon ke baaraat liye
raah tak rahee hoon teri
khari hoon kab sey teray intizaar mein

kab tuu aa�ay ga
meray berang khawaboon mein rang bharnay ko
meri taareek duniya mein, roshni karnay ko
meri udaas aankhoon mein, sitaray sajanay ko
meray honton pe, hansi key gulaab khilaany ko

kab aa�ay ga tuu
mujhay apni baahoon mein samanay ko
apni aakhoon mein basanay ko
pakloon pey sajaanay ko
dil mein chuupaanay ko
ab aa bhee jaa keh
mera dam nikal na jaa�ay
teri raah taktay taktay
      
                                                                                 
meri sab akaili aur udaas shamain teray naam hain
Hosted by www.Geocities.ws

1