| Ghamoon ke iss hajoom mein ik dard aur sahi Seenay pay chaand key itnay daagh to ik aur sahi Ghari do ghari ki baat hotee to seh letay har dukh Chalo ab zindagee bhar ka yeh ik roag aur sahi Kuch to nakaam arzoo ki nazar hogaee thee zindagi Ab umer bhar ko qaid-e-tanhaee ki ye saza aur sahi Nadaan they hum, khaa�ay buhat faraib duniya sey Khuub tumhara mazaaq tha, kuch dil lagee aur sahi Ijaazat na milee ke tarap saktay, ro laytay teri bewafaee par Zindagee jab itnee bezaar hai, to thori bekalee aur sahi Jab jaagna tha intizaar mein teray to raat taveel hoti gai Shama jalti rahi, aankh barasti rahi, aisee hi ik raat aur sahi Ghamoon ka saath hoa to khushee rooth gaee Zindagee jab sey milee, maut bhee rooth gaee Mein in sunsaan raastoon pay chaloon kaisay Dil ko samjhaya to zindagaee rooth gaee Khayalon nay kiya hai mujhay din raat pareshaan Khawabon sey hoee jab dostee, haqeeqat rooth gaee Loag to lutairay hain, kia kia na sitam kartay hain Meinay to faqqat socha hi tha aur jawani rooth gaee Aaj to mushkil hai bari, mudda aa kaisay ho bayaan Aankhoon sey hoee dil ki baat, zabaan rooth gaee Mausam ka kia aitbaar, woh tumhari tarha hain Barsaat gar taveel hoee to khizaan rooth gaee Kuch yaad hai tumko woh maazi purana mera Tanhaee mein tasveer sey teri batain karna mera Barish hoee buhat, bijlee chamki, dil dharaknay laga Barastay, garajtay badaloon key sang bheegna mera Mein jo kabhee rahti thi paanion sey khaufzada Kachay gharay pay tujhsey milnay ko aana mera Dil sey khail khail kar jab khud hi toar dia usko Ab koi khailona nahi milta aur akailay rona mera Shoar barish ka mujhay sapnon ki waadi jaanay na dey Taron bhari raat hai magar mein tanha, aur sulagna mera Mein chund muskarahatoon key liye ab aur kitna bhaagoon Dehaktee, surkh aankhon sey kitnee ratain aur jaagoon Allah itnay bhee to dukh na maangay thay meinay Dil khoon rooaay aur mein raat raat bhar jaagoon Koi maseeha hi aa�ay, dawaa karay meray dukhon ki Khushiaan meray peechaay hoon aur mein unsay bhaagoon Sapnay sab key apnay apnay, taaj mahal bhee sab ka apna Mera to sapna bhee jhoota, taaj mahal toota, ab kia maangoon Daaman to bhar chukka mera maangi hoee khushiyoon sey Na teri tamanna hai , na ab mein teray peechay bhaagoon Dukh bharay fasanay suna kar woh khud to sogaya yeh zakham meray sootay nahi, aur mein shab bhar jaagoon Kuch naatay hain aisay bhee, jinhain tor na saki ab tak Kaisay bandhanon mein ulajh gaee, ab kiyoonkar bhaagoon |
![]() |
![]() |
![]() |
![]() |
![]() |