yahan sab ka joash behoash hai
aur saaz ki sadaa khamoash hai

nahi hai aaj shoar tufaan mein
darya ki laher kuch khamoash hai

kuch udaas si lagay mujhko fiza
hawa bhee aaj to khamoash hai

rota hai dil kuch is tarha keh aankh bhi
dekh kar aanso iskay khamoash hai

yeh aaj kaisee mehfil sajaaee tuunay
mein hoon tanha aur to khamoash hai

seenay mein ghutnay laga hai dam
aur zabaan bhee to khamoash hai

dharkan har ik dil ki sunaee dey
shayed fiza buhat khamoash hai

dil kahay buhat hangama hoga
yeh tufaan buhat khamoash hai

kuch boltay nahi sun kar aahain meri
kiyoon meherbaan bhee khamoash hai

aaoo yaadoon ki vaadee chalain
kia sochta hai kiyoon khamoash hai

apnay des ka hangama achha na lagay
aur diyaar-e-ghair ki fiza khamoash hai

mera jawab teri purnam nigaah mein tha
gar aankh mein aansoo hai to lab kiyoon khamoash hai

gul tuu hi geet suna, chhair dard ka saaz koi
aaj chaman mein bulbul buhat khamoash hai

Yeh jo saya sa saath hi rahta hai
Jaanay kaun hai, kia sochta rahta hai

Yeh to meray janam janam ka sathi hai
Jaanay kiyoon us ajnabi key saath rahta hai

Tanhai mein aur tanha chhor jaata hai
Tuu meray paas ho to meray saath rahta hai

Na hansay, na rulaay, na karay dil ki koi baat
Bas yoonhi din raat saath saath rahta hai

Kal shab mein thi buhat tanha, tuu tha kahan?
tuu hi jaanay tuu kiskay saath rahta hai

Gul ko khushbu se kia, baharoon se kia?
tuu meray dil mein, meray buhat paas rahta hai
Hosted by www.Geocities.ws

1