mehfil mein baithay akser mujhay yeh ehsaas hoaa woh sab key saath tha magar, meray na paas hoaa dostoon ki naraazgi ka to buhat khauf tha ussko meray dil ki shikastagi ka na magar ehsaas hoaa sab pay inaayaatain, nawazishain, lutfo-karam mujh sey to zara si nafrat ka bhi na sapaas hoaa sissakti rahi raat bhar chandni sunh kar daastan meri tarapna jo kuja, tuu to magar zara bhi na udaas hoaa kal shab to larazti Shama key saa�ay talay guzaar dee ghar bhi lautna tha, mujhko subha tak na eshaas hoaa Shama ki lau nay kitnay parwaanay jalaa daalay thay tujhko phir bhi meray izhaar-e-muhabbat ka na paas hoaa meray dil ki duniya teray liye basee hai kab sey tum ab tak na aa�ay raahguzar sooni hai kab sey har shaam diye kitnay palkoon pey apni jalaay tumhari yaad mein yeh aankh nam hai kab sey dil ki duniya kabhi ujarti hai kabhi bas jaati hai maloom nahi kismat meri, mujh se roothi hai kab sey hum to woh hain jo pulaay hain aaghoash mein ghamon ki zakhmon sey khailna bhi khushnasebi hai kab sey umer guzar gaee hamari naseehatain kartay sab ko aur pata chal na saka, yeh gham ki raat dhali hai kab sey jis mein jalay hain tamaam umer woh aag intizaar ki sab kuch to milaa, na hoee poori aarzoo dil-e-beqaraar ki dil ko milay jis say qaraar, tum koi to aisee baat karo aaj gham dey rahay hain khushiyoon pay pehra, raah nahi faraar ki na kisi ke waaday ka yaqeen, na kisi ki muskarhat ka aitbaar khud hi chaader samajh ker aurh lee hai, daman-e-taar taar ki zulm dekhiye unka, meri daastan-e-gham ko apni keh kay sunaain kaisee dhataaee hai, khud saree hai meray dilazaar ki woh hum se khud unkay gunahon ka bhee iqbal chahain rotay rahay hum zaar zaar magar na thee juraat inkaar ki ab hum pay ilzaam rakhtay ho, kartay ho galee galee badnaam kahani banatay ho, tumharay israar par, hamaray iqraar ki kiye apnay pay ab kia pachhtaana, haan sochtay hain yeh zaroor jab jaantay thay tum dagha dogaay, kiyoon na phir tumsay takraar ki dil to diya tha aur jaan bhee denay ki kasam khaee thee kiyoon raaz dil ke sab kholay, zaroorat kia thee tumpar aitbaar ki jabkay kuch bhee paas nahi, mera saya bhee meray saath nahi kuch to bacha rakhtay, kuch sharaayat hain dil ke karobaar ki dil dharaknay ki awaaz sunaee na dey, haath to kaee baar rakha kahan gaya mera dil? Kiss ko dey aa�ay? girha kholo iss asraar ki |
![]() |
![]() |
![]() |
![]() |
![]() |
![]() |