ik raat ki baat hai
ab to guzri baat hai
do Dillon ki baat hai
buhat raaz ki baat hai

buhat hi afsaanay banay
kia khoob jag ki baat hai

hum to bas deewanay tehray
piyaar kab hoash ki baat hai

kissi shaam tanha na rahay
tanha koi lutf ki baat hai

issi ik dhaaray pe behtay barsoon beetay
aghaaz hoaay sadiyoon ki baat hai

aaj to phir wohi raat hai
fallak pe, chaand taaray ki baat hai

haathon mein tera phir se haath hai
na shikway ki shikayat ki baat hai

ulfat ke izhaar ki raat hai
tajdeed-e-wafa ki baat hai

maut bhi judaa jissko na karsakay
ik aisee raaz ki baat hai

jo dil mein piyaar basa rakhiye
to ibaadat hi ki to baat hai

--------------------------------
raazdaan to thay buhat,fursat na milee sunaatay qissa apna
aur kal ehbaab nay phir bulaya, sunanay ko koi qissa apna

aur to sab nay sunaee muhabaat ki dastaanain yaaro
hum tak pauhancha tha wohi aahoon bhara qissa apna

ab shikayat bhi karain to kiss say karain, koi hamdard nahi raha
dair to humnay ki aanay mein, sab jaachukay thay suna kar qissa apna

aur phir eik samaan bandh gaya, mehfil nay suni jo meri kahani
un ke tassaver mein thay khooay, aur khud hi sunatay thay qissa apna

rang humnay woh jamaya ke Shama ke sang ronaay laga parwaana bhi
zaalim ka tasawar bhi bedard nikla, hansta raha, suna kar qissa apna

subha hotaay hi yaaran-e-mehfil aaker jagaanay lagay mujhko
aur Gul ro ro ke kehti rahi, sun to lo eik aur hai dard bhara qissa apna
--------------------------
qatra-e-khoon ko tarasta hi raha mera gulshan
sailaab-e-ashk baha le hi gaya, sarv-o-samman

bahar aaee ghunchay khilay, magar thakay thakay se lagay
ik khazaan ka dukh, aur phir hawaaoon ka taiz challan

sab kuch rah gaya raat ki siaahi mein chhup kar
zakhamoon ke paiwand, woh naasoor, woh chhalni badan

zabaan mein apni band rakhoon gee, hukum tumhara bajaa
kaliyoon se suno daastaan-e-khoonchkaan, se uthta chilman

sabzaay ki haryaali pe na jaa, sarsoon ka dekh rung
har daali pe hai jafa ka paiwand, kia hoa jo ujlaa hai pairahan


pather, rait, matti, kia kia na daal kar chuppaya Meinay
rang to tera lag hi chukka hai mujhko, kia dhooay ga saabun
Hosted by www.Geocities.ws

1