Tamanna jis ki thi woh to na milay ga, phir beqaraar kiyoon ho Aana to hai khushi ko eik din, phir shidatay intizaar kiyoon ho Tum andheri raatoon ki baat kartay ho, meinay din mein khaa�ay dhookay Jab maut hi hai apna anjaam, to phir koi mansooba�aay faraar kiyoon ho Saans ruk ruk kar loon to dam ghutnay ka andesha rahay Zindagi mein, maut mein yeh kashmakash, itni takraar kiyoon ho Apna to khuch khayal nahi, tumhari fikar si lagee rahti hai kuch kuch Baad marnay key meray, tujhko kisi aur sey piyaar kiyoon ho Dekhoon to zara dastak ussnay di hai, ke hai baad-e-saba Khizaaoon nay bhi dekhlia hai mera ghar, ab yahan bahar kiyoon ho gul woh to aaker phir kabhi na aanay ko aa bhi chukay har aahat pay chunkna tera, yeh pareshaani si baar baar kiyoon ho Woh raasta aaj dikha dey jahan milay ga sakoon Aankhoon mein hai wehshat, dil bhi hai besakoon Kaisa yeh sooraj nikla aaj, chehra to zard sa hai mera Magar tuu jo muskra dey, zara to mil jaay ga sakoon Kitnay tareeqay hain talaash karnay kay, paalenay kay Gul ko to ab teri raahoon mein bikhar kar hi milay ga sakoon Aaj itni ghabrahat si kiyoon hai? Kiya honay waala hai? Tera jawab bhi kuch namukammil hai, na de sakay ga sakoon mehboob mujhay ik geet sunaa halka halka, meetha meetha aanso hawa ura kar ley jaa'ay dukh sab baarish sung beh jaa'ay aur tuu jab meray paas aa'ay tujhsey kahoon, aaj wohi geet suna halka halka, meetha meetha umeed naee subha ki abhi hai mujhay raat ke dukh kiyoon sunaoon tujhay itni himmat kahan, rulaaoon tujhay ik dard uthaa, jab woh geet sunaa halka halka, meetha meetha ghar ghar jalay diye, mein kiyoon jalaoon woh muskra�ay mein khil khil jaaoon bikhroon kabhi, aur kabhi simmat jaaoon hans kar tuu phir kahay mujhsay�aaj wohi geet sunaa� halka halka, meetha meetha jab aas na ho, koi paas na ho dil ki baat karoon to kissay karoon jab piyaas na ho, sans na ho tujhay yaad karoon to kiyookar karoon shab ka bheega baadal, meri aankh ka kajal donoon ki barsaat dekhoon, ke sulagta dil dekhoon shaam sawairay, ujaalay undheraay ik simtay simtay saa'y ko chuptay dekhoon |
![]() |
![]() |
![]() |
![]() |