sapnoon mein dekhti hoon jisko kuch apna sa lagay hai
khuli jo aankh to woh najaanay kuch paraya sa lagay hai

har eik ki aakhoon mein piyaar hi to dhoondti rahi
aur uski aakhoon mein bhi piyaar kuch jhoota sa lagay hai

yaadain bhi sawan key badal ki tarha chaaii hain
woh saamnay baitha hoaa kuch uktaaya sa lagay hai

aakhoon mein kuch payam hain, aanso na dekh meray
tera khaloos bhi, chahat bhi ab kuch dhoka sa lagay hai

shab bhi kat hi jaati hai, savairay ki umeed liye
din bhar magar aanay waali shab ka kuch dharka sa lagay hai

rahon mein muhabat ke diye kitnay jalaay humnay
jo teri talaash mein niklay, to raah mein kuch andhera sa lagay hai

yeh khaar khaar nahi hain, ghamgusaar hain teray
gul ko sara chamman phir bhi kuch soona sa lagay hai


Aansoon ka kia behtay hain, jaisay barsay barsaat mein badal
Gar rasta chalna mushkil ho tumko, to thaam lo mera aanchal

Bhatakti rahi hoon najaanay kiski ki talaash mein aajtak
Woh ajnabi jo saath tha kabhi, ab rasta gaya hai badal

Kabhi tanhaee mein preshaan, kabhi hajoom mein tanha tanha
Aur ab kahan milay ga sakoon, khuda imtihaan meray karday sehal

Gham ki hawa nay itna jala dia
Udaas samander mein gira dia

Jab kuch bhi na raha paas meray
Sulagta hoa dil haath mein thama dia

Na aya yaqeen jab meri wafa ka
Lahoo badan, daaman-e-taar dikha dia

Sadiyoon pay moheet meri kahani
Ik pal mein mujhay zamanay nay bhula dia

Mujhay shaahkaar banaya tha qudrat nay
Kaisay dil key mander mein tu nay saja dia

Aankhein bhi jin ko ab to tarsain
Woh sapna lori dey dey key sula dia

Samajh aa�ay na sabab kuch udaasi ka
Gul, nay aaj kia paaya, aur kia lutaa dia

Khayal-yaar sey kitnay kareeb thay hum
Piyaar pa ker bhi tera kitnay ghareeb thay hum

Ronay mein umer guzaari, haath kuch bhi na aya
Tera dard bhi na mila, kitnay badnaseeb thay hum

Ulfat to thi teri duniya say hi humko warna
Khud sey to nafrat thi, kitnay ajeeb thay hum

Dekhnay ko zakham hain, rafoo ko daman-e-taar
Aah, eik woh zamana, kia dilfaraib thay hum

Jis raah say guzray, phool sajatay rahay hum to
Aur lutwaya khud ko, apnay hi raqeeb thay hum
Hosted by www.Geocities.ws

1