| kai baras beetay, meinay aaina dekha nahi iss mein ik aurat nazar aati hai jo maan jaisi lagti hai magar woh maan to nahi hai yadon ke hajoom mein dhakail kar kia kuch yaad dilati hai, buhat rulati hai mein jab school se ghar aati thi roti ki sondhi sondhi khushbu maan ki meethi awaaz mera intizaar karti thi woh apnay nazuk haathoon ko barha kar daur ke aati, mukho seenay se laganay mein to apni dhun mein magan hoti usskay paas se guzar jaati thi maan kehti thi.... buhat yaad aaongi tujhay mein hans deti thi mein socha karti thi maan ghalat kehti hai meri to apni ik duniya hogi chhota sa ik ghar hoga nannay nannay bachay hongay aur ik billi ka bacha hoga phir maan kiyoon yaad aay gee mujhay mera beta school se jab ghar aata hai mein darwazay pe usska rusta roak leti hoon ussko ghar ke under jaany nahi deti seenay se lagati hoon, maathay ko choomti hoon maan dekh mein tera qarz chukaa rahi hoon maan kehti thi...... "maanwaan thandiaan chhawaan" mein hans deti thi itni chhoti si, nazuk si, naram si maan kanch ki gurya jaisi, gori gori resham ke goal goal chhaloon balon wali maan woh to khud hi thaki thaki si hai mujhpe chhaan kaisay karay gee meinay betay ki aankhoon mein kabhi nahi dekha, wahan ik aurat nazar aati hai thaki thaki si tanha tanha maan jaisi lagti hai woh mager maan nahi hai woh continued on next page................. |
![]() |
![]() |
![]() |
| maan ke naam |