| Dushman-e-jaan ki berukhi, haal hamara poocha na gaya Aur hum sey bhee ussee ka dia zakham dekhaya na gaya Loag to poocha kiye ham sey ronay ka sabab baar baar Yehi to rona hai, saamany usskey roya na gaya Hamain to zeest aur maut nay pehlo ba pehlo thaam rakha tha Jawab to lena hai mujhay , kiyoon tumsay aya na gaya Kal tak to tum jalwa gar thay pehlo mein hamaray Hamain kisi aur sey hansatay unsay dekha na gaya Bahaar aaee to khilay thay buhat ghunchaay Bhanwray sey jo bach gaya aisa koi paya na gaya Jab woh aatay hain shaan sey chaman mein hamaray Kia bulbul, to kia Gul, kisi sey bhee bola na gaya Sooraj bhee dooba, taaray niklay, aur ho chukka sawera Kisi key intizaar mein har shab katay, kal hoga sawera Isi intizaar mein har shab katay ke kal hoga sawera Taras gaa�ay kaan sunanay ko aahatain, naghmay teray Koi rota hi sunaaee dey, jab kal hoga sawera Shab to taaray gin gin kar guzaar doon Khurshid dekhnay ki taab na hogee jab hoga sawera Khirkee khoal doon, shayed taaza hawa ka jhonka aa�ay Teri yaadon key habas sey dam ghutay ga jab hoga sawera Chaman bhee sojaa�ay ga shab ko thandi hawa ki lori sey Aur duniya ki ranginiyoon mein kho jaa�ay ga jab hoga sawera Gul jin sey behal jaatay they, wohi saaz aur sadaiin Thak kar meri aaghoosh mein sojaain jab hoga sawera unki yaadoon mein khookar asker hi thakan hotee hai Gham saray meri aaghoosh mein sojaain jab hoga sawera Mein hoon roshni ki talaash mein, har taraf andhera hai Raat beet gaee, subah aagaee, magar kiyoon andhera hai kuch to daagh-e-dil jaalaay kuch aankhoon key di'aay bhee hum nay sab kuch jala kar sar-rah rakha magar andhera hai hawa key sard jhoonkoon nay sabhee chiraagh bujhaa�ay ik dia dil mein chhupa rakha tha, phir bhi magar andhera hai har moorh key baad ik naa�ay dard sey aashana hoaa�ay yeh saada lohi hamari, nahi jaantay teri galee mein andhera hai kabhee ham sey thee mehfil mein ronaq, ab raah ki dhool hain jab sey teri talash mein niklay, aankh purnam, dil andhera hai hamaray khaloos ka ihsaas nahi tumhain, na hoa karay jab bujh gaee yeh shama, to tum hi kaho gay haa�ay andhera hai |
![]() |
![]() |