| tapka jo aankh sey aanso, aanso nahi hai ro chuki aankh itna key baaqi lahoo nahi hai ik umer guzree, gunaahoon ka boajh hai itna kiyoonkar khud ko badloon, yehi ik khoo nahi hai chhorna chaheen teri mefilain jab bhee poochay hai tuu, kuch din sey kiyoon tuu nahi hai chahoon jo rahna tanha, to rah na sakoon gee kisi key piyaar ki, nafrat ki bhee justujoo nahi hai kia intnee saza kafi na thee meray liye meray khuda sab kuch lutta, muhabbat na milee, aabroo nahi hai phirti rahi hoon abla paa, bastee bastee teri duniya mein paya to sabhee kuch, bas ik meray khuda too nahi hai mar gaa�ay haan mar hi to gaa�ay sab hi piyaaray meray kaisay roo�oon unhain ab baqi aankh mein aansoo nahi hai kiyoon to nay maangee thee duaa, tanhaiyoon ki ab poochay hai roz, kiyoon nahi? Woh nahi, tuu nahi hai kaisee hai yeh teri mehfil? Tarsoon teri qurbat ko shayed keh ab Gul mein baaqi kuch khshboo nahi hai phir wohi din, wohi shaam, wohi gham ki raat phir uski yadain, woh aag, woh jalnay ki baat wohi din hain, waisee hi hain mulaaqatain ussay phir wohi jaan lutaanay ki, dil ko jaalaanay ki baat phir judaa hogaay ussay, woh phir na milay aisay gaa�ay aaee hai bas chaandni, aur tanhai mein aag laganay ki raat hamain kiya ke tuu bhee lutt jaa�ay ho jaa�ay barbaad hamain ab nahi chahiye karam ki, tasaliaan denay ki raat yoon berukhee sey kehtay ho, kia hoa? kia chaiye ab tumko? jaisay tumnay to yaad na ho, jaan denay ki, dil lutaanay ki raat roo�ay ga tuu bhe aik din, aur yaad ham aain gay tujhko behisaab hoash jaa�ay ga, chhotay ga jab mera saath, meray marnay ki raat rooay thay tum bhee eik din, meray dil key sheeshay key toot jaanay par muskara rahay ho kiyoon itna aaj, kia aaj hai muskaray ki raat yoon achaanak hi, yoon tanha hi chalaay jaaoo gay kia? Kia hoee ham ko bhee saath leyjaanay ki baat Tum to akser hi kuch na kuch sunaay aa�ay mujhko Magar fursat kahan poochoo kabhee meray dil ki baat Ruswa karo, chahay karo hamain badnaam , jo chahoo karo Tumhain to aadat si hai fasana bananay ki, jo ho zara si baat Kisko sunaaoo gay yeh jhootay fasanay, yeh bahanay Chaman udaas hai, keh aaj hai Gul key murjhaanay ki raat |
![]() |
![]() |
![]() |