| unki aankhon mein jhanko to, qayamat nazar aatee hai palkon key saa�ay talaay bhee ik shararat nazar aatee hai khawab bankar jo chha gaya, meri andheri raatoon par din ka ujaala ho jab to uskee haqeet nazar aatee hai suntay aatay hian mil jaata hai khuda bhee dhoondhnay sey phir kiyoon nahi tum ko paanay ki koi soorat nazar aatee hai jis ko banana chaha dost, dia piyaar, nikla who bhee apna raqeeb har insaan key chehray par bas ik wehshat nazat aatee hai ji rukh- zeba sey suna kartay thay hum piyaar ki batain aaj to us ghuncha dahan par bhee nafrat nazar aatee hai koi to ham sey bhee dostee nibhaanay wala hota umer bhar ko na sahi ik pal ko hi apna hota bakhshi hoee uski ik muskarahat kafi thi mujhko woh nahi to kia uski yaadoon ka sahara hota gar khushi naraaz hai humsay to maut bhi aati nahi ke goar mein bhi ham hi ham hotaay, raaj hamara hota tanhai mein to jee ghabaraata nahi hamara laikin kia mumkin nahi kuch dair ko na zaalim zamaana hota bujhna to shama nay bhi hai aur gul nay bhi murjhaana na koi parwaana hota, aur na hi koi bhanwra hota baaqi hoon abhee teray sitam sehnay ko baqaai hain kuch din teray karam honay ko parwaah nahi kiye jaaoo jo jee mein aatee hai paa liya hai mein bhe ik maseeha khazam bharnay ko suntay hain tum bhi kuch badaltay jaatay ho khabar kia hogai hai keh ham ab hain khatam honay ko mein jo aksar khoya to bas ik teray hi khayaloon mein aur kia kia rang detay ho, hamaray tum khonay ko duniya hi kam na thee azaab hamain tumharay wajood sey ghazab yeh farishtoon nay, jagaya lahad mein chalay jis dam sonay ko Aa dil tu apnaay zakhmoon ki dawaa kar Chhor jeenay ki tamanna, kuch aur duaa kar Jis dar pay gaay, thokar hi to lagee hai Mehfil mein unkee tuu ab na jaaya kar Maange tha tumko, zidagee bhee na milee Zehar muyyaser nahi to amrit hi khaya kar Marnay waaloon pe to roya kartay hain sabhee log Aa dil-e-naadaan to is zinda laash pe muskaraya kar Murjhaatay hi Gul ko bhol gaya, chaman bhee Aa dost to meri barbadiyoon par roya na kar |
![]() |
![]() |
![]() |