socha to tha umer teray saath bitaanay ko
yeh mulaaqat ik pal mein khatam hogaee



maza kia, aa parwaanay jalnay mein ik baar
lutf to tab hai, jab to bhee jalay baar baar

to jo jalaata hai meray dil ko roz roz to kiyoon na
mein teri tammanaa ki aag mein jaloon baar baar

chalay thay hum to khaak honay ko teri aarzoo mein
yeh kia keh jab aag lagaoon, to chalain hawain baar baar

itnee jaldi kia hai, aaoo to batain kuch karain aaj raat
nahi aateen hain qurbat ki yeh ghariaan baar baar

teri ik nazr-e karam ko phirtay rahay gosha gosha, dali dali
gul ko magar tu nay kaisee bedardi sey masla baar baar

kia mein koi pather hoon, koi dard karigar nahi hota
mein woh sagger hoon, jis mein gauher nahi hota

har aangan mein jalnay walee roshni hoon magar
woh biyaabaan hoon, jis mein koi ghar nahi hota

mein jaltee hoon ik parwaanay key liye raat din
bata dey mujhay itana, kiyoon uspe kuch asar nahi hota

kiyoon rahoon zinda, jabkay zaroorat bhee nahi meri
kisi ko kuch meray aanay ka, jaaanay ka fikar nahi hota

zinda they jab talak, seenay mein sab zakham chuupaay
maut nay meri aah, teray lagaaay, sab zakham dikhaay

thay to buhat naik naam jab tak to tha mera raazdaan
uthnay lageen ungliaan, lehad mein abhee utarnay na paay

dekh keh daman-e-taar addoo ka bhee dil bhar aa�aay
maut par meri mager tuu, aansoo bahanay bhee na aa�aay

sitam hai kismat ka ghairoon nay utaara qabar mein humko
sahara dena to kia, tum do qamdam saath chalnay bhe na aa�aay

galee galee ho gaay hain ruswaa, gosha nahi milta moonh chuaapnay ko
duniya nay to dekha, yeh tamasha, kiyoon tum hi na dekhnay aa�aay

itna roo aa Shama keh aankh mein teri baqi na rahay koi aansoo
aur tuu roo bhee na sakay, jis dam zalim  who rulaanay aa�aay

khushboo teri hamain khainch laee hai teray dildaaroon mein
warna manind-e-khaar hain hum to chaman zaaron mein

thee to yeh ik tamanna, tumhain chaahtay dil-o-jaan sey
socha hi tha faqat, keh hogaay shaamil gunahgaaron mein

maqaam-e-sakoon samjha tha teri hi mehfil ko humnay
tuunay ik baar na dekha, tha itna magan apnay dildaron mein

dil ka zakham, chehray ki taazgee chhupaa na sakay gee
hum jaisay Gul kahan bhala in gulzaaron mein

sheesha-e-dil toot gaya faqat teri ik laprwah thookar sey
aur laa phainka tu nay hamain, pather key pehraadaaron mein

dil mein teri aarzo, laboon pey khamooshee liye mar jaain to kia
ik ham hi na hoaay, to kamee na hogee kabhe teray parastaaron mein
Hosted by www.Geocities.ws

1