hasratoon ke jaal hain jo buntay chalay gay koi hamara na hoaa, aur kisi ko hum na mil sakay bhaid hum pe khula barson ke baad aaj hi to qurbaani di humnay aur sazawaar bhi hum hi hoaay sar pe izaat-o-namoos ki jhooti chaader ke liye zindagi ki dhoop se bachnay ko,sooli pe charh gay na mila piyaar, na sakoon ghar ki chaar deevari mein na jaanay kis kis ke jhootay wadoon pe yaqeen kar gay Aa dil tu apnaay zakhmoon ki dawaa kar Chhor jeenay ki tamanna, kuch aur duaa kar Jis dar pay gaay, thokar hi to lagee hai Mehfil mein unkee tuu ab na jaaya kar Maange tha tumko, zidagee bhee na milee Zehar muyyaser nahi to amrit hi khaya kar Marnay waaloon pe to roya kartay hain sabhee log Aa dil-e-naadaan to is zinda laash pe muskaraya kar Murjhaatay hi Gul ko bhol gaya, chaman bhee Aa dost to meri barbadiyoon par roya na kar shama ko rootay na kisi nay dekha jaltay to dekha, sulagtay na dekha is behiss jahan mein kia kisi nay socho to kabhee kisi key dard to samjha parwaana jalay to jalay apne aag mein usnay bhee shayed shama ka dard na jana shama hoon jaloon raat raat bher teray liye bata to nay kabhe ruk kar meri aanso to poncha aankhon ki shamain jalnay do, raat bhar, ke hai intizaar kisi ka palnay do sab hasratain dil mein, ke hai intizaar kisi ka chaand bhi kab ka so gaya badliyoon ki goad mein ik hum hain ke chaunk jaatay hain har aahat pe, ke hai intzaar kisi ka dhoondhti hain hasrat bhari nigahain tumko chaar suu lo ab masal ke phaik hi diya Gul ko aur nahi hai intizaar kisi ka kissi din bhool kar rastay mein kahin na mil jaay woh mukhko jabhi to dil ka diya jalaya hai, aur hai intizaar kisi ka naakaam hasraton ko thapkiaan siskiyoon ki diye jaarahi hoon so ja aa dil so ja, subha honay ko aee, kal karna intizaar kisi ka dhundhla na jain aakhein ke dekh na paay aain gay jab woh aanso Shama ke ponch rahi hoon, ke ussay hai intizaar kisi ka |
![]() |
![]() |
![]() |
![]() |
![]() |