....continued from last page

woh ik sard sard si subha thi
ik awaaz nay neend se uthaya tha mujhko
awaaz kehti thi........tuu akaili hai
teri maan tujhko chhor gaee hai
mein chilla ke boli
tuu jhooti hai

meri maan to bawarchi khaanay mein hai
meray liye roti paka rahi hai
dekh abhi pukaray gi mujhko
"beti nashta karnay aaja"

awaaz hansnay lagi........
boli, nadaan hai tuu to
dekh uth ke
bawarchi khaana khali hai
choolha thanda hai
iss subha ki tarha
ghar bhi khali hai
terya dil ki tarha


maan kehti thi....
meray baad tera koi na hoga
na koi saathi, na koi saheli
tuu hogi akaili.....

mein hans deti thi
meri to itni saheliaan hain
guriyaan hain
mein akaili kaisay hongi
maan to naadaan hai

maan tuu theek kehti thi......
ye to mein hoon naadan
na hai koi saheli
na koi ghamgusaar
na gurya na khilonay

maan ka badal to koi nahi hai
zindagi ki kari dhoop hai
maan ki thandi chhaan nahi hai
usski meethi awaaz nahi hai

mein ik sheeshay ke ghar mein rahti hoon
haathon se chehra chhupaay
har sheeshay mein ik aurat nazar aati hai
maan jaisi lagti hai
magar maan nahi hai

maan woh tuu to nahi hai
woh to teri beti hai

meinay aaina dekhna chhor dia hai
iss mein ik aurat rahti hai
maan jaisi nazar aati hai
maan jaisi lagti hai
mager maan nahi hai

maan tuu kahan hai
maan saamnay aaja sirf ik baar
seenay se laga le bas ik baar
teray reshmi chhallay se baalon ki
khushbuu aati hai mujhko
aaina torh nahi saki mein

kissi ki aankh mein dekh nai sakti mein
tuu har ik ki aankh se nazar aati hai mujhko

Hosted by www.Geocities.ws

1