Har sang mein dil hai dharakta hoa, har zarray ka khoon katra katra behta hoa
Mujhay to khizaan raseeda, goristaan ko bhi manzal bananay ki ijaazat na milee
==========================================================
naee umang liye, naee duniyaa ik basanay ko
phool nay khilaanay ko, gulshan ik sajaanay ko
khaloos ki mehak, aur piyaar ka tuhfaa de kar
sab dukhon ko kisi pather talay chhupa kar
mein muhabbat karnay lagi mein kissi se
dil ki ujree hoee yeh diniyaa basaanay ko
---------------------------------------------
maangay they phhol diye ham ko kaantay
bari mushkil sey yeh khaar hamnay chhantay
---------------------------------------------
dekhay ham nay bhee sitamgar buhat
tum jaisa magar nahi kahin nahi dekha
------------------------------------------
dil-e-bemaar ka poocha nakro haal
tumharay poochnay sey aur hot hai bemaar
---------------------------------------
mujhko bhula dia qasoor tera nahi hai
aankh ney bhulaaya, dil bhoola nahi hai
---------------------------------------
dil mein ik dard sa chhupa rakha hai
na dikha sakin jo zakham aisa laga rakha hai
-------------------------------
kitna kaghazi chehra hai mera
tera piyaar dil mein hi chuppa rakha hai
----------------------------------
duniya yeh to faani hai
to tu kis aas mein baaqi hai
---------------------------------
jawaab khat ka na aya to dil hi toot jaa�ay ga
qalam bhee aansoo bahata raha to sookh jaa�ay ga
---------------------------------
woh dosti jo qurbaan raqeeboon par hogaee
kuch unka jahan barbaad hoa, kuch apni duniya lut gaee
-----------------------------------------
woh aa�ay to yoon, bakhair dee khushboo chahaar suu
kuch yadain aisee chhor gaa�ay, na yaad aain gay kabhi
----------------------------------------
bas do gaam hi to rah gaee thee manzil hamari
phir kia hoa tum dar-e-ashiaan saath chhor gaay
--------------------------------------------
aa dil yeh raaz chupa rakhay ga kab tak
ussay nafrat ka sar-e-aam ailaan karday
===========================
yoon na nafratoon key teer sey maar hamain
abhee to duniya key bhee zakham sehnay hain
===========================
apnoon nay wafa na ki hum sey
tum sey wafa ki umeed phir kia ho
=============================
gila apnoon sey nahi kartay
ghairoon sey phir karain kia shikwa
=============================
dard batanay ki ijaazt bhee nahi hai
haal apna tujhay sunaaoon kaisay
==============================
Nahi aag shama mein, aur gul mein khushbuu bhi nahi
Meray paas teri chaahat ki teri wafa ki khusbuu bhi nahi
Andheri raat hai, itni ke raasta teray ghar ka milta nahi mujhko
Apnay ghar ka raasta yaad hai, magar wahan jaanay ki justuju bhi nahi
========================================
Gul ko aaj bhikhar jaanay de khushbuu ban ke
Ke ussko to teez hawaon ki baharon ki aarzo bhi nahi
========================================
bharakti aag dil mein hai, issko bujhaana chaahti hoon
ghar mera tareek hai, dia teray piyaar ka jalana chaahti hoon
===================================
aankhoon mein raat kaatna, aankhoo sey baat karna
yeh ihsaas-e-murrawat, hamara kahin duniya na jaagay
=====================================
itna ro aaj, shama keh aankh mein teri aansoo na rahay koi
aur tuu ro bhi na sakay, jis dam zaalim woh rulaanay aa'ay
Hosted by www.Geocities.ws

1