| kisi ki aankhon mein ik diya sa jaltay dekha hai dil mein unkay apni muhabbat ko paltay dekha hai ============================== jab nahi aya yaqeen meri wafa ka laho badan, daam-taar dikha dia samajh na aaay sabab udaasi ka kia paaya humnay, kia lutaa dia sadiyoon par muheet meri kahani to nay pal bhar mein bhula dia ============================== ujree hoee bastee ka muflis gadagar hoon alfaaz ki duniya sey bheek milay to jaanoon ============================ mehfilaain sajaaoon kaisay, dost puranay to aatay nahi faryad ho kis zabaan sey, aansoon aankh mein aatay nahi ============================ gar to na aa�ay ga to mar bhee na paoon gee karoon gee intizaar tera mein aakhri sansoon tak ============================ khuda karay gulshan mein teray yoonhi bahaar rahay dekh dekh tujhko baqi Gul mein mehkaar rahaay ================================ hangama�ay duniya dab gaya hai meri khamooshiyoon mein haal-e-dil ab apna sunaoon tujhko to sunaaon kaisay ============================ socha to tha umer saath bitaanay ko yeh mulaaqat ik pal mein khatam hogaee ============================= dard se aah karnay ki ijaazt bhee na mili aankh ke num hotay hi, dil khoon ronay laga ============================== dar pay tujhay uskay thokar hi to lagee hai uskee mehfiloon mein ab tu a' nadaan jaya na kar gul ke murjhaatay hi bhool gaya chaman sara usko aa'y dil meri barbadioon par tuu magar, roya na kar ====================================== Dooba hai jo bhi hasratoon key samander mein Duniya saja deti hai, usko tamanna key mander mein ======================================== dil ke veeranay mein mehfil ko sajana kuch aisay khazaan aay jab to zard patoon se shajar ho begaana jaisay dil lagi ka meray jab honay lagay samaan nazar phair lena tum piyaar ki lori de ke gham ki waadi mein sulaay zamana jaisay ==================================== haath thaam lo mera phir doobnay ka dar nahi hoga aankh mein yoon aajao meray, khawab koi suhaana jaisay ======================================= Hum hain raahi piyaar ke humsay kuch na boliye Jo bhi mila piyaar se, humto ussi ke ho liye ================================= Hum jissko mil gay woh hamara na hoaa Dil jissay mil gaya, woh kisi aur ka hoaa Salamat rahay, aabaad rahay duniya teri Mera kia, mein to teri muhabbat mein barbaad hoaa ===================================== tera piyaar badalta hai, badaltay mausam ki tarha teri berukhi pe aankh barsi chhama chhum meri =================================== socha hai ke ab ki baar jo tuu hoga phir se meharbaan hum bhi dil pe rakh ke pather, karaingay tujhse berukhi |
| bikhray moti |