<BGSOUND SRC="http://www.geocities.com/shama_rukh28/userfiles:/user/love.mid" LOOP=INFINITE>
Chund Bikhraay Moti
kia khoob sataya hai teri yaad nay mujhko
do aakhein hain tarasti, ik dil hai tarapta

=================================
yaadoon ke sailaab mein kuch ghir gaee hoon aisay
dil mein bastay bastay, hawasoon pe chha gaya woh
===================================
sab kuch mila zindagi mein humko to bas ik hi duaa se
aaj ki raat maang leingay tujhko bhi apnay khuda se

======================================
neend se bhojhal aakhoon mein tasveer teri hai
khuli bahain teri hain, khawaboon ki duniyaa teri hai
=====================================
dil ki betaabi ka kia kehna, har aahat pe chaunk jaana
aain gay woh mujhsay milnaay, mujhko hai ab jaana
aa chaand unsay jaaker mera salaam kehna..
karta hai yaad koi,unko bas ye payaam dena..

====================================
gawahi deingay, yeh mismil haath, yeh ungliaan meri
ke patheroon pe tarashi hain meinay tasveerain teri
====================================
tasveer se teri iss dil ko behlaatay hain
naadaan tujhse milnay ki zidh karta hai
dil ko bhi detay hain jhooti tassaliaan akser
aur ro ro ke takiye se lippat ke sojaatay hain...

====================================
neend se bhojhal aakhoon mein tasveer teri hai
khuli bahain teri hain, khawaboon ki duniyaa teri hai,

dil mein ik dard sa chhupa rakha hai
na dikha sakin jo zakham aisa laga rakha hai
==================================
kitna kaghazi chehra hai mera
tera piyaar dil mein hi chuppa rakha hai
===============================
tuu nahi hoga to kia hoa, teri baaton ka sahara hoga
tera waada jhoota hi sahi, doobnay walay ka sahara hoga
====================================
gar to na aa�ay ga to mar bhee na paoon gee
karoon gee intizaar tera mein aakhri sansoon tak
============================
khuda karay gulshan mein teray yoonhi bahaar rahay
dekh dekh tujhko baqi Gul mein mehkaar rahay
=======================================
Yeh dekho hai, meri muhabbat mein khud gharzi ki intiha
Maangi hai, dil se aaj meinay to yehi ik duaa
Woh mera na ho saka, to kia hoaa
Woh kisi aur ka bhi na hosakay, aa meray khudaa

==========================================
for the one i love
Hosted by www.Geocities.ws

1