aye khuda meri duaon ka kuch to asar mile,
uthaoon jab bhi najar , unse najar mile.
khata hui humse , ki , mil na saki maafi.
saja mili itni , ki , kam lagti hai faansi.
na tadpa mujhe tu sare - shaam aa ja.
mera chand ab tu chat pe aaja.
tadap ke mera dum na toot jaye.
dawa ya dua ban ke tu kaam aaja.
hum khud hue tabaah warna , duniya ko hamari kya pari thi.
yeh zakhma un dino ke hain , jab hamari dosti badi thi.
kahne nahin deti hai kuch mohabbat teri
hothon pe rah jaati hai aa - aa ke shikayat teri
kya husna ne samjha hai kya ishq ne jana hai.
hum jaison ki thokar mein jamana hai.
pahle jaadoo karti ho , phir deewana kahti ho.
la di ho us mukam pe jahan sirf , tum hi tum dikhti ho.