mujhe is baat ka gam nahin ki badla hai jamana,
tum meri mohabbat ho , kahin tum badal na jana.
milte hain to katra ke nikal jaate hain.
hai ! yahan mausam ki tarah dost bhi badal jaate hain.
gulshan mein agar phool na ho , to bahar nahin aa sakta.
jiske zindgi mein dost hi na ho , pyar aa nahin sakta.
jab yaad tumhari aati hai , tab dard jigar mein hoti hai.
har roj raat ko rota hoon , jab saari duniya soti hai.
hothon ki mushkan dekh li , dil nahin dekha,
tumne mere andar , gam ka samandar nahin dekha.
humne tumhein apna samajh kaleja cheer ke dikha diya.
tumhari niyat hi kuch aur thi , tumne khanjar chala diya.
milte rahte hain to dil mein sama jaate hain.
jo milke naihn milte , woh bahut yaad aate hain.
likha takdeer mein pardesh to watan ko yaad kya karna
jahan bedard sanam ho , wahan fariyad kya karna.
aye bewafa tumse to achchi yeh sharab lagti hai,
dil to jalati hai lekin hothon ke paas rahti hai.
palat kar dekh le zalim tamanna hum bhi rakhte hain.
tum husna rakhti ho , ishq hum bhi rakhte hain.