bhool sakta hoon tumhein magar ,bhoolata nahi hoon main.

kasmon se apna daman churata nahi hoon main.

tumse ik baar phir milne ki tamanna hai baaki.

yahi soch kar kisi aur se dil lagata nahi hoon main.

agar hum na hote to aapko sher kaun sunata

aapke chehre ko kamal kaun kahta

yeh to karishma hai mohabbat ka ,warna paththaron ko tajmahal kaun kahta.

shikaytein thi kafi us se magar usne kabhi poocha hi nahi.

hum rote rahe aar mein andheron ki magar us ne jaana hi nahi.

mera ikrar tere inkar se achcha hoga.

mera din bhi teri raat se behtar hoga

yakeen nahi to doli se jhank ke dekhna

mera janaza teri baraat se behtar hoga.

chehre pe haseen cha jaati hai.

aankhon mein suroor aa jata hai.

jab tum mujhe apna kahte ho.

apne pe guroor aa jaata hai.

faasle jism ko door le jaate hain  magar.

dilon ke shahar to ujarte nahi.

aankhon se aankhon ka rishta toot jaye to kya.

saath dekhe hue khwab kabhi mitte nahi.

 

 

 

Hosted by www.Geocities.ws

1