| Selected Verses of Murtaza Birlas |
| Proverbial Verses (In Roman Urdu) Doston kay halqay mein, ham who kaj muqaddar hain Afsaron mein shaa.ir hain, shaa.iron main afsar hain ------------------------------ Hay yun to mere raqeebon main ikhtlaaf bahut Mere khilaaf magar ittehaad kitna hai ------------------------------ Aisi basti ko zamin chaat liya karti hai Zulm barh jaye jahan hud se ziyada Birlas ------------------------------ Aankhein hain surkh, hont siah, rang zard hai Hur shakhs jaisay mere qabeelay ka fard hai ------------------------------ Sargam jo alapi to mughanni kegale se Sur tere badan ke motanasib kaee nikle ------------------------------ Urd rahay hain waqt ki raftar say maghrib ki samt Jaisi aaghaz-e-safar mein teera shab thi ab bhi hai ------------------------------ Waise to hur koi yahan mitti ka hai qaseeda khwan Mitti ka jis pe qarz tha us ne ada nahin kiya ------------------------------ Khud rehbaraneqaum hain aalaishon mein gum Ham se magar mutalba qurbaniyon ka hai ------------------------------ Main apne des ki matti se pyar karta hoon Yeh jurm bhi mri fard-e- hisab mein aaye ------------------------------ Mri ghurbat numoo kay qarz se baychain rehti thi Main jis matti ka purwurda tha us matti kay kam aaya ----------------------------- Kitab sada rahey gi kab tak, kahin to aaghaze baab hoga Jinhon nay basti ujar dali kabhi to unka hisab ho ga ----------------------------- Main ne kaha keh bin tere kaisay katay gee zindagi jultay huay chiragh ko usnay bujha diya - keh yun ----------------------------- |
| All Copyrights (C) Reserved by Author |