Hamarey qaul o amal main tazad kitna hay
Magar yeh dil hay keh khush aiteqad kitna hay

Ke jaisay rang he lay aega lahoo apna
Wafa pay apni hamain aitemad kitna hay

Yeh jaanta hay keh wada shikan hey who phir bhi
Dil us kay wada e-farda pay shaad kitna hay

Isi pe saaray muraasim ka inhisaar hay ub
Kisi ki zaat say hum ko mafad kitna hay

Woh jis nay mujh ko faraamosh kar diya yak sar
Who shakhs mujh ko magar ab bhi yaad kitna hay

Har aik soch main aaloodgi hawas ki hay
Ragon main qatra-e- khoon ka fasad kitna hay

Hey yun to merey raqeebon main ikhtelaf bahut
Meray khilaaf magar ittahad kitna hay
Home
Copyrights (C) Reserved by Author
Index of Irtaash
Print/Download in PDF
Download Free Acrobat Reader (R)  for Opening PDF Files
You need Java to see this applet.
Hosted by www.Geocities.ws

1