| Bataqaza�ay fitrat, sooraj har shaam ko jaata hai doab Bhanwar se bach jaanay waala bera, saahil pe akser jaata hai doab Mein jo apnay wajood ko kho chuki hoon iss khail mein Meri shaam ho chali, gharoag hogaee iss khail mein Ab who hangaamay, who naraa�ay tahseen, who din kahan Thapkiaan denay waalay dost, who dushman bhi kahan Meray parastaar jo laatay thay kabhi poolon ke haar Kho dia unko jab se hoee jeet pe ghalib meri haar Nikaal dia har dil se, har nazar se, har maidaan se Sokhaay phool noachta kar koi phainkta hai guldaan se Ye thakay thakay se qadam, yeh jhuka sar, neechi nazar kiyoon ho sharminda, kia tum bhi meri tarha chhor aay apna ghar Tadbeer ka kiyoon karon gila naa hi taqdeer ko doash doon samajhti to sab hoon, mager hai zaroori ke khamoash rahoon Arooj ko choonay gaee thi, pasti mein gir gaee Raastay mein gir gaee hoon,uthanay mujhay aay koi dehleez se manzil ki kabhi to laut key ay koi Chaandni bhijhay kabhi meri rahoon mein Khaloos se kahin se pukaaray koi Jhoola mein dalon saba ki bahon mein Mujhay coat ke collar mein lagay koi Ghangoar ghata chaay meri zindagi pe jab Haath parkray mera, dey duain koi Gul khilain jab baghon mein, ab ki bahar Khaar bhi meray dil ko bhaay koi |