| Tootay hoaay dil, jilti aankhein, rotay chehray Ujri hoee maang, khoon mein nahay sehray Hontoon pe hain taalay, armano pe pehray Chaak gareebaon se jhaanktay zakhm gehray Shayed, ke jaga sakain kabhi musalmaan ke zameer ko Sisaktay, hoaay bachaay, aah-o-zaari karti main Jhukay sar, uthay haath, behnon ki woh duaain Kahan kho gaay ho baba, betiyoon ki sadaain Aanchal sar ke sambhaalti, kuch karti hoe iltajaain Shayed, ke jaga sakain kabhi musalmaan ke zameer ko Kai baar laash betay ki baap nay uthaai Ghar baap na aya to bandoak betay nay uthai Pardey utaaray jab na laut ke aya bhai Maan ab teri hai baari, beti dey ye duhai Shayed, ke jaga sakain kabhi musalmaan ke zameer ko Betiaan jab talwaar saunt ke hehleez se niklain Betay shahadat ki chadar aurhay jab ghar lautain Gardish-e- jahan se masoom bachay bhi siskain Ab to ik baar hi koi aisa ho sitam ke khatam hon jangain Aur jo kabhi na jaga sakain muslamaan ke murda zameer ko Zindagi ke safar ki who ik shaam Chaltay hoaa ik foot path par Ik fakeer ka bheek maangna Aur loagon ka usski jholi mein sikkay uchaalna yaad hai mujhko meinay bhi jab ik sikka usski hathaili pe rakha usskay chehray pe ik rang sa aya aur gaya usski aankhon mein kuch ihsaas-e-apnaiyat meray zehan ke kisi goshay ko hila gaya phir ussnay apnay ghaleez hathon mein sikka daba ke monh phair liya kai roaz guzray, uss footpath per woh ajnabi, mager kuch shanasa gadager nazar aya nahi aaj mein apni saheli bano ki rasm-e-hina ko gaee thi usskay haathon pe rachi mehndi ki sondhi sondhi khubuu meray udaas man ko mehka rahi thi meri rooh mein halchal macha rahi thi bano nay phir ik awaz di �abba idher to aao� murh ke meinay jo dekha to meray dimagh pe ik naqsh ubhra yeh kaun hai, jo lagta hai yeh to bano ke abba hain magar unkay jhurriyoon bharay chehray se in hathon se, kiyoon lagtay hain shanasa se sawal to kai thay, jawab na tha koi yeh kaun hai meray saamnay aaj who kaun tha footpath pe shayed gard-e-zamana kisi roaz is raaz ko bhi benaqaab kardey aur uryaan hojaay ye baat |