Sami Syed

Introduction Resume Islamic Information Thoughts Love Stories Urdu Shayari Contact Me

 

Dhokha diya jab tune mujhe,

 Zindagi se mai naaraaz tha,

 phir socha ki tujhe dil se nikal doon, 

dekha to woh kambhakt dil bhi tumhare paas tha

 

Yaad karte hai tumhe tanhaiyon me,

 dil dooba rehta hai ghamo ki gehraiyon me,

 mat dhoondo hume duniya ki bheed me,

 hum milenge tumhe tumhari parchaiyon me

 

Maana intezaar ka aalam bada sakht lagta hai lekin kya kare dil ki baat zubaan pe aate aate waqt lagta hai.

 

Ankho ki zubaanwoh samjh nahi paate,

 honth magar kuch keh nahi paate,

 apni bebasi kis tarah kahe hum, 

koi hai jiske bina hum reh nahi paate

 

Yeh zindagi ek sazaa si hogayi hai,

 ghum ke saagar me is kadar kho gayi hai, 

tum aajao wapas yeh guzarish hai meri,

 shayad mujhe tumhari aadat si hogayi hai

 

Unko chaha bhi to izhaar karna na aaya,

 kat gayi umr saari hume pyaar karna na aaya,

 usne mangi bhi to judai maangi,

 aur hume inkaar karna na aaya

 

Tanhaiyon me unko yaad karte rehte hai,

 salaamat rahe yehi fariyaad karte rehte hai,

 hum unke hi deedar ka intezaar karte hai,

 unko kya pata hum unse kitna pyar karte hai

 

Dil bhool nahi sakta tumhe,

 dhadkan ki zaroorat ho tum,

 tumse meri duniya haseen,

 meri pehli mohabbat ho tum

 

Kanto ko chubna sikhaya nahi jaata,

phoolon ko khilna sikhaya nahi jaata,

 koi ban jaata hai apnaa,

 kisi ko apna banaya nahi jaata

 

Badi mushkil se dil ki bekharari ko karaar aaya hai, 

jis zaalim ne mujhe tadpaya usi par pyar aya

 

koi kisi ke dard me shaamil nahi hai, 

har adaa husn ke kaabil nahi hai, 

sab kuch lutakar samjh gaye ae dost, 

yeh duniya pyar ke kaabil nahi.

 

Humne maanga tha saath unka woh judaai ka gham de gaye, 

hum yaadon ke sahaare jee lete, 

woh bhool jaane ki kasam de gaye

 

Sirf tu hi nahi, 

saari duniya mujhse khafa hai,

 jab naseeb me mere pyaar hi nahi hai to kaise kahu ke koi bewafaa hai

 

Aaj ho gaya hu mai tanha, 

koi mera ghamkhar nahi hai,

 maut par hai mujhko bharosa, 

zindagi ka aitbaar nahi hai

 

Tujhe chahne wale kam nahi honge,

 waqt ke saath shayaad hum na honge, 

chahe kisi ko kitna bhi pyaar dena, 

lekin teri yaadon ke haqdaar surf hum honge

 

 

Ankhon pe aasun ki lakeer ban gayi,

 kabhi na socha tha aisi taqdeer ban gayi,

 humne to phirai thi yunhi reth me ungliyan,

 gaur se dekha to tumhari tasveer ban gayi

 

 

Ghum ne sone na diya,

 zamaane ne rone na diya, 

is uljhan ne kuch hone na diya, 

rona aaya to sitaron ne di tassali,

 neend aayi to teri yaad ne sone na diya

 

 

Sukkhe patte se pyaar karlenge,

 hhum tum par aitbar karlenge,

 tum itna to keh do tum humare ho,

 hum zindagi bhar intezaar karlenge

 

 

Arz kiya hai, 

ke kaash banane wale ne dil kaanch ke banaye hote, 

kam se kam todne walon ke haath pe zakhm to aaye hote

 

 

Tarasti nazron ki pyaas ho tum,

 tadapte dil ki aas ho tum,

 bujhti zindagi ki saans ho tum,

 phir kaise na kahoon ke kuch KHAAS ho tum

 

Guzre hai hum ishq ke aise muqaam se, 

ke nafrat si hogai hai mohabbat ke naam se

 

Ulfat me kabhi ye haal hota hai,

 aankhe hasti hai magar dil rota hai,

maante hai hum jise manzi apni, 

humsafar uska koi aur hota hai

 

 

Aankhen teri hom aansu mere ho,

 dhadkan teri ho,

 saanse meri ho,

jab hum dosti me juda hoke mar jaaye to kafan tera ho aur laash meri ho

 

 

Mere Sabr ka imtehaan na le,

 meri khamoshi ko sazaa na de,

 jo tere bagair jee na sake, 

usse jeene ki Du'aa na de

 

 

Waqt ke saaye me halaat badal jaate hai, 

dil nahi badalte lekin khayaalat badal jaate hai

 

 

 

*Tanhaiyon se nahi hum mehfil se darte hai,

 duniya se nahi hum khud se darte hai,

 yun to bohot kuch khoya hai humne,

 najane kyun tumko khone se darte hai"

 

 

Pehli Mohabbat me khata kar raha hoon,

kisi bewafa se wafa kar raha hoon,

 woh thukraye to kya mere khuda,

 tu milade tujhse dua kar raha hoon

 

 

 

 

*Unhe chahna humari kamzori hai, 

unhe keh na paana humari majboori hai,

 woh kyu nahi samajhte humari khamoshi ko,

 kya pyar ka izhaar karna zaroori hai"

 

 

*Dil toddiya mera ab chita bhi jala dena,

 kafan na mile to apna rumaal odha dena,

 koi puche  agar ke rog kya tha,

 nazar jhuka ke tum mohabbat bata dena."

 

 

*Dosti to sirf ek ittefaq hai,

 yeh to dilon ki mulakaat hai,

 dosti nahi dekhti ke yeh din hai ya raat hai,

 isme to sirf wafadari aur jazbaat hai. (Rated : Best Sher)

 

 

*Hum raat ki tanhai me tumhe awaz diya karte hai aur sitaro se aapka zikr kiya karte hai, 

tum aao ya na aao khwabon me,

 hum aapka intezaar kiya karte hai.

 

 

*Humne har shaam chiragon se saja rakha hai,

 par sharth hawaaon se laga rakhi hai,

 najaane kis gali se mera yaar aajaye,

 humne har gali phoolon se saja rakhi hai"

 

 

Ansuon ko bohot samjhaya tanhai me aaya karo,

 mehfil me hamara mazak na udaya karo,

 ispar aansu tadap kar bole,

 itne logo me aapko tanha paate hai,

 isiliye chale aate hai.

 

 

*Raat kya dhali sitare chale gaye,

 ghairo se kya gila jab apne chale gaye,

 jeet to sakte the dosti ki baazi hum bhi,

 par tumhe jitane ke liye haarte chale gaye"

 

 

*Khuda se maine ek Duaa mangi,

 Duaa me  apni maut maangi,

 khuda ne kaha maut to tujhe Main de sakta hoon,

 magar uska kya karu jisne Duaa me teri zindagi maangi"

 

 

*Sheeshe se bhi naazuk hai par naaz nahi karta,

 yeh dil jab toot ta hai to awaaz nahi karta"

 

 

 

*Koi hume thukraye,

 uska hume gham nahi,

 badnaseeb hai woh,

 jiske naseeb me hum nahi."

 

Ishq ka jahan name hota hai
Tarapna siskana aam hota hai
Karwaten badalna taman raat jagna
Zakhmon ka dil sey kaam hota hai
Khush naseeb kabhi ishq ho nahi sakta
yeh to badnasibion ka kaam hota hai.

Dil ko tarpate ho yeh dastoor kaisa hai
Bimar.e.muhabat ka kehna aisa hai
Koun kehta hai keh tum chaand jaise ho
Haqiqat to yeh hai keh chaand tum jaisa hai.

Jinko rahi dhundte dar-badar...
woh dil key reh-numa nikle...
ab tanhai hum sey nahi katt ti...
woh miley to humari jaan nikle...

Ainey main tasvir tumhari hi dekhte hain hum
Dharkan bhi mane tumhe hi apna humdum
Dil ki baat hoton par kaise lain hum
tum apne ho yeh tumhe kaise batain hum.

Yeh sishey yeh saqpney yeh rishtey yeh daagh
kise kya khabar hai kahan toot jaen
muhabat key darya main tinke wafa key
na jaaney yeh kis mour par doub jayen.

Muskurate hain to bijlian gira detey hain
Baat karte hain to dewanna bana dettey hain
Husn walo ki nazar bhi kam nahi qayamat sey
aag paani main nazron sey laga detey hain.

Muhabat ka name dekar
Sitam izaad kar dala
Hasino ney jisey chaha
Usey barbad kar dala.

Mere paas a kar haye mujheko tarpana aap ka
door kharey ho kar haye woh muskurana aap ka
dekh lena jaan meri ley ga ek din
woh palken utha kar phir jhukna aap ka.

Jinki yaad hai dil main nishani ki tarha
woh to bhool gaye humen kahani ki tarha.

Ashiq martey nahi zinda dafnaey jatey hain
Qabar khoul kar dekho to intezar main paye jatey hain
aye they meri qabar par diya jala kar chaley gaye
marne key baad hi sahi oar roshniyan to milin.

Jis shaam mere lab par tera name na aye
khuda kare aisi shaam kabhi na aye
aye jan-e-wafa yeh to kabhi mumkin hi na tha
keh afsana likhon our tera name na aye.

CHiraghon ki roshni jab zara hilli
Laga tumhari ek ahat si mili
ja key dekha dar par
to phir wohi kafir hawa mili.

Mere jine key liye tere amaan hi kafi hain
dil key qalam sey likhey yeh dastaan hi kafi hain
teer-r-talwaar ki tujeh kya zarorat-e-nazneen
qatal karne key liye teri muskaan hi kafi hai.
Jo Saaz Se Nikli Hai, Woh Sada Sab Ne Suni Hai
     Jo Saaz Pe Guzri Hai, Woh Kis Dil Ko Khabar Hai
     
     Raste Main Gire Hain Phool, Uthata Hai Koi Koi
     Muhabbat Karte Hain Sabhi, Nibhata Hai Koi Koi
     
     Mujhe bhulna bhi chaho to bhula na sako ge
     Main to palkon pe thahar jaoon ga, aaansoon ki tarah
     
     Tum badle, jahan badla, badli nazar zamane ki
     Yeh Aansu char baqi rah gaye, nishani dil lagane ki
     
     In Udaas Muskurahaton Ke Peeche, Ghum Ke Railay Hain
     Ab Tumhain Kya Batayain, Ke Tum Bin Kitne Akele Hain
     
     Mujhe Is Baaat Ka Ghum Nahi Kay Badal Gayaa Zamaana
     Meri Zindagi To Sirph Tum Ho, Kahin Tum Na Badal Jaana
     
     Maana ke aapke nazaron main kuch nahin hain hum
     Magar unse jakar puchiye jin-hain hasil nahi hain hum
     
     Aadi bana kar lazzat-e-aazaar ne mujhey
     Gham ki khalish ko dil ki tamanna bana diya
     
     Khuda kisi ko kis par fidaa na kare,
     Agar kare to Qyamat tak judaa na kare
     
     Huwi hum se ye nadani, kay teri mehfil mein aah bethay.
     Ho kay zameen ki khakh, aasman se dil laga bethay
     
     Jinki yaad hai dil me nishaani ki tarah
     Woh to bhool gaye hume kahani ki tarah.
     
     Galat nahin key zamaney mein la jawaab hain hum
     Samajh sakey na koi woh kitaab hain hum
     
     Aandhi aati hai, tufaaan chale jaate hain
     Yaade rah jaati hai, insaan chale jaate hain
     
     Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan
     Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
     Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
     Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan
     
     Hum Bewafa Har Giz Na Thay
     Par Hum Wafa Kar Na Sakay
     Humain Mili Us Ki Saza
     Jo Khata Hum Kar Na Sakay

        Hui hum se ye nadani,
     Kay teri mehfil mein aa baithe
     Ho kay zameen ki khakh
     Aasman se dil laga baithe
     
     Dil si cheez hai, dene ko hai de day
     Magar koi qabeel bhi to ho
     Hum to jaan de kay bhi khush hain
     Magar koi qateel bhi to ho
     
     Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
     Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
     Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
     Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
     Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
     Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
     Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
     Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
     Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
     Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi
     
     Ishq ke phool bhi khilte hain, bikhar jaate hain
     zakhm kaise bhi hon, kuch roze main bhar jaate hain
     Us khwabon main ab koi nahi aur hum bhi nahi
     Itne roze se aaye hain, chup chaap guzar jaate hain
     Nurm aawaaz, bholi baatain, mohazzab lehjaa
     Pehle baarish main hi, sab rang utar jaate hain
     Raasta roke khari hai, wahi uljhan kab se
     Koi puche to kahen kya ke kidhar jaate hain
     
     Ashq Mile To Pee Lete Hain
     Aap Kahe To Mar Jayen Hum
     Aap Kahe To Jee Lete Hain
     Hum To Hain Un Phoolon Jaise
     Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain
     
     Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai
         Tumhi Kaho Ki Yeh Andaz-E-Guftagu Kya Hai
     Ragon Main Daurte Phirne Ke Hum Nahin Qayal
     Jab Aankh Se Hi Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai
     
     Yeh Bhi Aadab Hamare Hain, Tumhain Kya Malum
     Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum
     Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna
     Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya Maalum     

yadon mein kabhee aap bhi khoyae hongae,
khulee ankon se kabhee aap bhi soyae hongae,
mana hasna hai aadath gum chupanae ki,
par haste-haste kabhee aap bhi royae hongae!!!

dard kafi hai bekudhe ke liye,
maut zaroori hai zindagi ke liye,
kaun marta hai kisi ke liyae
hum to zinda hai sirf aap jaise dumbo ke liye!!

faslae mita kar aapas mein pyar rakhnaa
dosti ka yeh ristha humesha yun hi barkaraar rakhna
bichad jaye kabhi aap se hum
anakho mein humesha humara intezaar rakhna!!

ek pathar kafi hai sisha thodnae ke liye
ek baath kafi hai dil thodnae ke liye
aur ek dost kafi hai zindagi jee lene ke liye!!

kuch nasha apki baton ka hai,
kuch nasha dheemi barsat ka hai,
hamne aap yunhi sharabi math kahiyae
yeh dil par asar apkae mulaqat ka hai!!

jindagi kisi ki amanat nahi hoti,
manant mein kabhi qayamath nahi hoti,
dil bhi sochkar lagana ae dost
ishq ki quaid mein kabhi jannath nahi hoti!!

jab bhi tanhai ne unko sataya hoga,
tab tab unko mera khayal aaya hoga
gum ye nahi hai ki woh bhool gayae humko
gum yeh hai ki ro ro ke bhulaya hoga!!

yaad teri na aayae aisa honae na dengae,
dost tere jaise khonae na dengae
sharafat se contact me rehnaa
varna kaan ke nichae do kheench ke denge!!

ulfat ka akher yahi dastur hota hai,
jisae chaho woh hi apnae se dur hota hai,
dil tut kar bhi bikartha hai is kedar,
jaise koyee kaanch ka khilona chur-chur hota hai!!

dil todna humari adat nahi,
dil hum kisika dukhate nahi
bharosa rakhna humarae dosti pe
dost bankar hum kisiko bhulaathe nahi!!

umar ki raah me insaan badal jathe hai
waqt ki aandhi main tufaan badal jathe hai
soctha hoon tumhe pareshan na karu
lekin baad mein iradha badal jatha hai!!

usko chaha bhi tho izhaar karna na aaya,
kat gayi umar saari humein pyar karna na aaya
usnae manga bhi agar kuch tho jindagi mangi
aur humne inkaar bhi karnae na aaya!!

gum mein hasane walon ko kabhi rulaya nahi jatha
lehron se pani ko kabhi hataya nahi jatha
honewale ho jate hai kudh hi dil se apnae
kisi ko kehkar apna banya nahi jatha!!

unhe adath hai zakhm dene ki,
apni to fitrath hai gum chupane ki,
ab tho adath si pad gayi hai ansu pe jaane ki
kya haseen saza di hai zalim se dil lagane ki!!

jab tumhe dekhu my dil start flying
tumse bat kare tho i keep trying
jab thu door jaye i fell like crying
are ithna tension math le i was joshing

unhe yeh shikwa hogee ki hum unhe yaad karthae hi nahi,
par kambakath unhe yeh kaun samjhayae ki hum unhe yaad
kaisae karen jinhe bhula sakthe hi nahi.!!

Aaj socha ki jawab kya bheju,
Aap jaise logo ko khitab kya bheju,
Koi phool ho to mujhe maloom nahi,
Jo khud gulab ho usey gulab kya bheju.

Hasino ne hasin bankar gunah kiya,
Auro ko to thik ham ko bhi tabah kiya,
Pesh kiya jab gazlo me unki bevafai ko,
Auro ne to thik unhone bhi WAH WAH kiya.

main jaanta hoon kee yeh khawaab zhuthe hain aur,
yeh kusheeyaan adhuree hai,
magar zindaa rahane ke leeye mere dost,
kuchch galatphamiyan zaruree hain.

bahaar aane se pehle fiza aa gayi, ki bahaar aane se pehle fiza aa gayi
aur phool khilne se pehle hi
..........................................bakri kha gayi.

ZINDAGI KISI KI MOHTAJ NAHI HOTI
DOSTI SIRF JAZBAAT NAHI HOTI
KUCH TO KHAYAL AAYA HOGA KHUDA KO, VARNA
YUNHI APAKI HUM SE MULAKAT NA HOTI.

HAR KALI TUMSE KHUSBU UDHAR MANGE,
AFTAB TUJSE NUR UDHAR MANGE,
RAB KARE TU DOSTI AISE NIBHAYE,
KI LOG MUJSE TERI DOSTI UDHAR MANGE

YAAD KARTA HAIN AAPKO TANHAI MEIN
DIL DOOBA HAIN GAMO KI GEHRAI MEIN,
HAMEIN MAT DHOONDHO DUNIYA KI BHID MEIN,
HUM TO MILLENGE AAPKO AAPKI PARCHHAI MEIN

CHAHANE SE KOI CHIZ APANI NAHI HOTI
HAR MUSKAN KHUSHI NAHI HOTI,
KEHNA TO CHHAHTE HAIN BAHOT KUCH, MAGAR
KABHI ALFAZ TO KABHI ZUBAN SATH NAHI HOTI

Hosted by www.Geocities.ws

1