Hamraj banaya tha jisko
Baante the dukh-dard jisse
Aj vo bhi mujhse door
Kahin chala gaya
Bina mera ahvaal liye
Bina kuchh sawal kiye
Abhi vo javan bhi na huya tha
Na hi samajhee thee usne
Ye duniya, na duniya vaale
Janaja uska nikala,inhi
Kudrat ke dushmanon ne
Kya dosh tha us
Bejubaan ka, bas itna
Ki usne hamme hariyaali
Aur jeene ki chah bhari
Ya chand sikkon ki khatir
Tumne uska berahami se
Maktale tamam kar diya
Galat kiya, na karna tha tumhe
Vo bhi to kisi ka lal tha
Uske bhi to apne sapane the
Sonch thee jeevan ke liye
Naya hamraj kahan se laayoon fir
Jo samajhe mere jajvon ko
Aasaan nahin hain,musafir in
Kudrat ki nematon ko samajhana
Previous/ Home