Vo shame hijra fir  yaad aa gayi
Tasvvar mai unki tasveer aa gayi

  Apne akaddas  pyar ke lutne ki,
  Darde - daastaan yaad aa gayi

Unke narm sparsh se yakayak darkano 
Ke badh jaane ki baat,yaad aa gayi

  Haq jatane ki mujh par unki vo
  Dilkash adaa ,fir yaad aa gayi

Tanhaayi mai yaad unko kar ke
Aankhon mai mere namee aa gayi

 Akasmaat unke mil jaane ki khushi se
 Musafir ke veerane main bahar aa gayi


Previous/ Home/Next

Hosted by www.Geocities.ws

Hosted by www.Geocities.ws

1