Kabhi jab bhee main utarata hoon,
Gaharaaiyoon mai apani
Sochata hoon, kyoon mujhase koyi baat kare
Ya do pal baithe mere paas
Aisee maansikataayoon se grasit hoon main
Aise dhanche mai bana hoon main
Ki mere paas baith bhar jaane
Ya baat karne se bhi
Naitik patan ho sakata hai tumhara
Shaayad main galat hoon, ya nahin bhi
Maine prayog kiya hai swayam par
Jeevant huya hoon alag-alag tareekon se
Alag-alag mahaul mai
Paya hai apne ko tanha
Har ek mahaul mai
Aisa hargij nahin hai, ki
Koyi mere paas aaya hi nahin
Paas aaya ,baitha, baat ki
Par apne ek uddeshya se;
Dil ye mera kahata hai-
Utha , ye duniya tere liye nahin hai
Too isme fabata hi nahin
Kis khoj mai aaya tha too
Kya toone hai paaya
Sonch kar hi andar tak
Dahal jaata hoon main.....
Sambhalata hoon fir chalata hoon main
Jindagi naam hai chalate rahane ka
Main chaloonga, chaloonga main....
Dekhata hoon, ki is bhautikatavaadi
Sansar mai
Apane khud par kiye prayogon aur
Parinaamo ke saath
Ye musafir chalega
Kab tak , kab tak aur kab tak*********