main nikala tha lab se
kuchh papers aur books lekar
sahasa gayi meri nazar
kidhar, udhar jidhar
wo the mere saamne,
aur main tha unke aamne
unhone ishara kiya kahin
maine samajha ki ishara hai yahin
fir, khamoshi main, maine soncha
apni to nikal pari...
kuchh is tarah se shuru huya
apna ye safar, kuchh ksharon ka
kyoonki uske baad, tha uske saath
jiska wo kar rahi thee, intazaar
main musafir bekaraar,
dil ke tinko ko bator
aage bar chala, kisi aur ki talash main
yaaron wo fir "X" ho gayi

Musafir

Next

Hosted by www.Geocities.ws

1