Nitin Gupta's Personal web site


Sher - o - Shayari
Main shayar tto nahi, magar ai haseen jabse dekha maine tumko, mujhko... Kehne ko tto zindagi dekhi nahi hai maine, par phir bhi jo duniya ne mujhe dikhaya apne alfason mein likhne ki ichcha rakhta hoon. Urdu maine kabhi seekhi nahi tto tooti-footi urdu-hindi ka istemaal karunga :)

Nacheez ki kalam se

Aisi talaash pe nikal chala hoon main
Na shuruat ka, na ant ka pata
Aisa khoya hoon main isme yaaron
Na subeh ka, na shaam ka pata

Unki tamanna hai ki hum kuch sunaye
Tto ji suniyega ka zara
Hum shayaron ki shayad yahi tto khaas baat hai
Hum dil jeet lete hain iss tarah

Kissi apne ka gam sahen nahi kar paata hoon main
Shayad khud ko apna nahi maanta hoon

Shayari-e-mehfil

Kaate nahi katte hain lamhe intezaar ke,
Nazarein jama ke baithe hain raste pe yaar ke,
Dil ne kaha dekhe jo jalwe husn yaar ke,
Laaya hai kaun unhe palak se utar ke

Agar hum na hote to ghazal kaun kehta?
Aap ke chehre ko kamal kaun kehta?
Yeh to karishma hai mohobbat ka,
Warna pattharon ko Taj Mahal kaun kehta!

Zindagi mein kabhi to mujhe yaad karoge,
mehfil mein nahi to tanhai me faryad karoge,
Hamsa na mila na milenga koi,
aur tab apni kismat mein naaz karoge.

Kaun rakhta hai yaad naamo ko,
logh insaan ko bhool jaya karte hai.
tum samandur ke baat karti ho,
logh aankho mein doob jaya karte hai.

Shayari jo maine nahi likhi, par dil ki baat keh deti hain

Dil se

Koi aankon aankhon se baat kar leti hain
Koi aankon aankhon mein mulakaat kar leti hain
Mushkil hota hain jawaab dena
Jab koi khaamosh rehkar bhi sawaal kar leti hain


Unke liye

Tum kaatil tumhara chehra kaatil
Chehre ka ye kala til bhi katil
bhool kar bhi kahin tum dekh na lena aaina
ki kahin mar na de katil ko katil

Mast nazaron se kyon dekha, gar tamanna thi aazmaane ki
hum to yoon hi ghayal they, kya zaroorat thi muskurane ki

Hein Chaand Tu Is Tarah Itrakar Na Dekh,
Humne Bhi Kayee Chand Dekhen Hein,
Tummhe To Daag Hein, Humne To BeDaag Dekhen Hein.

Tarasti nazaron ki pyas ho tum,
tadapte dil kil aas ho tum,
bujti jindagi ki sas ho tum,
phir kaise na kahu?
kuchh "KHAAS" ho tum....!

Aankhe to pyar me dil ki zuban hoti hai,
Sacchi chahat to bejuban hoti hai,
pyar main dard bhi mile to kya ghabrana,
sacche dard se hi to chhahat jawan hoti hai.

Bhulaya nahi jata wo waqt suhana,
bar bar apka woh mere ghar ana jana,
kaise bhul jau wo apka nazare milana,
bhari dopahar me aakar mujhse lipat jana.

Tum bhulakar to dekho ek baar,
zindagi ki har khushi tumse rooth jaayegi.
Sochoge jab bhi apne baare mein,
khud-ba-khud meri yaad aa jaayegi.


Tanhayee

Hamdardi kar sakte hain woh,
Khud ka dard jinka ho kam,
Bedard na samjhna hamko tum,
Apne bhi hai yaroon laakhon gam.

Bedard hame samajhte hai wo par bedard hum hain nahi
Humse apna hal-e-dil wo aakar kabhi kahen to sahi.

Sunane gaye the unhe haal-e-dil,
Dard unka sunkar ro aaye magar.

Tapat Sooraj mein hoti hain
Tadapna sabko padta hain
kasoor aankhon ka hota hai
Tadapna dil ko padta hai

Raat Ko Jalte Diye bhi Din mai Buj jaya Karte Hai
Aur ek hum hai; jo ki Tere Pyar Me Din Raat Jala Karte Hai

Wafa ka naam na lo yaron,
Wafa dil ko dukahati hai.
Wafa ka naam lete hi,
hume ek bewafa ki yaad Aati hai

Log kahte hain ki hame aadat hain muskurane ki,
Vo kya jane, Ye bhi ek ada hain gam chhupane ki


Zindagi

Apni to har shaam ek Nashe mein
Guzar jati hai, ik din shaam nashe me
hongi aur hum guzar jaayenge.

Hosted by www.Geocities.ws

1