gustakhi jaroor hui pyar mein,par itne gustakh to na the hum.
aaj nafrat hai mere naam se ,pahle to itne kharab na the hum.
khabar na hogi janab ko , hum unke kareeb rahte hain.
woh dhoondhte hain humein jamane mein,hum unke dil mein rahte hain.
masoom kitne pyar se , kahta hai zamana unko.
kyon kare koi yakeen,jab main kahoon katil unko.
janaja mera rok kar , woh is andaz mein bole,
gali humne kahi thi, tum to duniya chod jate ho.
ek humein awara kahna koi bara ilzaam nahin..
duniya wale dil walon aur bhi bahut kuch kahte hain.
kaante naseeb mein hain , phool ki chah mat kar,
ae mere dil ! sambhal ja , phir yeh gunah mat kar.
jo kuch diya hai usne , hans kar kabool kar le,
aansoo bhi kimti hain khushiyon ki chaah mat kar.
khushboo bahra chaman yeh,kisi aur ke liye,
ye jaan kar bhi khud ko tabaah mat kar.
kirne taras nahin khati,shabnam ki zindagi par,
thodi si dhoop ke khatir , neechi nigah mat kar.
akela hi chala tha main manjil ki taraf,
log milte gaye karwan banta gaya.