khuda tere dar pe main fariyad karta hoon.
mila de unse jinhe main yaaad karta hoon.
matlab ki hai yeh diniya ,yehan kaun kisi ka hota hai.
dhokha wohi de jate hain bharosa jispe hota hai.
na jane kaun si manjil pe aa pahunch hai pyar apna.
na unko etwaar apna na humko etwaar apna.
khyalon mein hi sahi tumhein apna kah lenge.
sapno mein hi sahi saath tumhare rah lenge.
na jante the mohabbat mein log itna taraste hain.
aise bhi sawan hote hain jo bin mausam baraste hain.
marte- marte yah ahsan bhi tum par kar jyenge.
khanjar mat uthaao hum yuhin mar jayenge
zakhma gahre nahin the dil ke, dard mein is tarah mithas na thi.
yeh aapka hi karam hai warna, zindgi is kadar udaas na thi.
koi hasrat nahin ummeed nahin, phir bhi dil bekarar rhta hai.
tum na aaoge janta hoon , phir bhi inteeezaar rahta hai.
khuda ki khudaai dekhiye dono ek gali menrahte hain.
kismat ki khudi dekhiye , milne ko taraste hain.
woh kisi gair ke ho gaye ,phir bhi hum unhi pe marte hain.
lekar zakhma dil par unse , dum unhi ka bharte hain