|
Larka
apnay walid say: Mien itnaa bara(old) kab ho jaaoon ga k mujhay
ami sai poochay bagair bahir jaanay ki ijazat hogi.
Walid nai thandhi aah bhar kar kha : Beta itnaa bara to abhi mien
bhi nahin hooa .
Aik
aadmi faqeer sai : Bheek maangna acha nahin.
Faqeer : Mien nai paisa maanga hai advise nahin .
Beta : Abu agar mien metric k exams mien achi position laya to aap
kia lai kar dien gai?
Abu: Mien tumhien aik achi si cycle lai kar doon ga.
Beta: Aur agar fail ho gya to ?
Abu: To rikcshaw lai kar doon ga.
Aik Aadmi chaltay chaltay aik Sookhay hooay Talab (Pond) mien gir
gya aur madad
(help) k liye pukarnay laga , Aik aadmi nai Talab mien jhaank kar
kha : kia tum iss talab mein khud giray ho ?
Woh aadmi chir kar bola : Nahin nahin mien yahan football kehl rha
tha logon nai meray
ird gird deewar bana di.
Jangal mien kisi Janwar nai kangroo sai poocha : Tumhara Bacha kahan
hai ?
Kangroo nai neechay dekha aur cheekh mari : aray meri jaib kat gai.
Car ka Malik: Yeh tyre kaisai puncture ho gya?
Driver : woh sir aik sheeshay per gari char gai thi.
Malik: to tum nai kia sheeshaa nahin dekha?
Driver : Nahin sir sheeshaa us aadmi ki pocket mien tha jo car k
neechay aagya tha.
Aik larkai nai kaafi lambay lambay baal rakahy. Us k baap nai do
teen dafa kha k baal chotay kara lo. Lekin larkai ko koi asar na
hooa. Aur baap nai bhi kehna jaari rakha.Aakhir aik din tang aakar
larkai nai poocha: aap meray baaloon k peechay kyuon paray hain?
Baap nai kha , beta baat yeh hai k log aatay larki dekhnay hain
aur pasand tumhien kar jaatay hain.
Next
Page
|